Trending News

Saudi nojawanon mein be rozgari ki sharah kam hogayi

By News Desk Roman Urdu

August 11, 2020

Riyadh: Haliya barson ke douran Arab mumalik mein muqami nojawanon ko ziyada se ziyada mulaazimaten faraham karne ke rujhaan ki wajah se ab Saudi nojawanon mein mulazimaton ki sharah mein izafah huwa hai. Saudi mehakma shumariyat nay kaha hai ke 2019 ke pehli sah mahi ke douran Saudi nojawanon mein be rozgari ki sharah 29 feesad tak kam hogayi. Guzashta 4 barson ke muqablay mein 11.5 ke hisaab se kami hui hai.

Website ke mutabiq ladkoon mein be rozgari ki sharah 11.6 aur ladkiyon mein 13.9 feesad ki kami record ki gayi hai. Ye farq is liye huwa kyunkay Saudi hukoomat ladkiyon ko rozgaar dilanay ke liye muhim chalaye hue hai is ke bawajood ladkiyon mein be rozgari ki sharah ladkoon ke muqablay mein 3 guna ziyada hai. G20 mein shaamil mumalik ke taqabul se pata chala hai ke Saudi Arab ka number G20 ke mumalik mein be rozgari ke hawalay se satwaan hai.

Saudi mehakma shumariyat ki report ke mutabiq 2019 ke douran 15 se 34 baras ke barsar roozgar Saudi nojawanon ki tadaad 14 lakh 89 hazaar 520 hai. Ye kul Saudi mulazimeen ka 47 feesad hain. Report mein kaha gaya ke 15 se 34 baras ki omar ke nojawan jumla Saudi abadi ka 36.7 feesad hain. Beshtar nojawanon ki omren 20 se 24 baras ke darmain hain.

Yaad rahay ke Saudi Arab mein mulazimat ke mutlashi Saudi naojawanon ke ye yaqeen ho chala hai ke sarkari idaron mein mulazimat ke baghair koi charah nahi. Sarkari mulazimaten kam aur na qabil qubool kyun nah hon unki tankhwahin kam kyun nah hon ye mustaqil hoti hain. Unkay jaany ka koi khatrah nahi hota. Tankhwahon mein izafah aur taraqqi ka silsila muqarara qawaneen-o-zawabit ke mutabiq chalta rehta hai. Ye ehsas aksar Saudi nojawanon mein wizarat mehnat ki janib se jari kardah mulazimaton ke ahwaal dekhnay aur samajhnay ke bad khas tor par peda huwa hai.