Riyadh: Saudi General Authority For Military Industry ney kaha hai ke 6 March 2022 ko dar-ul-hukoomat Riyadh mein pehli baar bain ul aqwami difai numayesh munaqqid ki jaye gi. Is mein fazai, Badi, Behri Defence System, Masnoi sayaray aur Information Security alaat rakhay jayen ge.
Media ke mutabiq ye numayesh apni noiyat ki pehli munfarid aur mukammal hogi. Is mein Saudi aur bain ul aqwami asleha saaz ke ilawa fouji aur security alaat tayyar karne walay idaray shaamil hon ge. Ye jald hi duniya bhar mein honay wali bain ul aqwami difai numayeshoun mein apna maqam bana legi.
General Authority For Military Industry ke governor Engineer Ahmad Al-Ohali neh video press conference mein kaha ke difai numayesh har 2 baras baad Riyadh mein hogi. Press Conference mein Saudi, Ilaqai aur bain ul aqwami media ke numainday, Askari san-atoun se talluq rakhnay wali Saudi aur bain ul aqwami badi companiyoun ke ohdedar mojood thay.
Al-Ohali ney mazeed kaha hai ke Technology taraqqi ke zamane mein difaa ka bain ul aqwami shoba paicheda se paicheda tar hota chala ja raha hai. Zaroorat is baat ki hai ke is shobay se talluq rakhnay walay tamam idaray ek Platform par ek chhat ke neechay jama hon aur duniya bhar ko darpaish difai challenges par mobahisa karen. Unhoun ney mazeed kaha ke numayesh ke mauqa par mutadid seminar aur Conferences bhi hon gi. 30 hazaar murabba meter ke raqbay par dakhli numayesh hall hon ge. 15 hazaar murabba meter ke raqbay par tayyaray khaday kiye jayen ge. 2 lakh murabba meter ka raqba badi alaat ke liye mukhtas huga.