Slider

Saudi mein corona ke naye mamlaat mein kami ka silsila jari

By News Desk Roman Urdu

August 24, 2020

Riyadh: Saudi mein corona mamlaat mein numaya kami ka silsila jari hai. Guzashta roz 1109 naye mamlaat ki tasdeeq huvi hai jo do dinon ke douran sab se kam hai. Naye maalat ke baad mutasireen ki tadaad 3 lakh 7 hazaar 479 tak poanch gayi hai. Pichlle 24 ghantay mein ek hazaar 702 afraad sehatyab hue. Ab tak do lakh 80 hazaar 143 afraad is marz se shifayab ho chuke hain.

Wizarat sahet neh kaha hai ke guzashta roz 30 afraad is marz se halaak hue. Amwaat ki majmoi tadaad teen hazaar 649 ho chuki hai. Mumlikat mein is waqt mojooda mareezon ki tadaad 23 hazaar 687 hai jis mein ek hazaar 644 mareez intahi nighdasht unit mein zair-e-elaaj hain. Wizarat sahet ki janib se jari adaad-o-shumar ke hawalay se kaha ke mukhtalif shehron mein guzashta 24 ghantay ke douran coronavirus ke naye mamlat ki sab se ziyada tadaad bhi Mecca Mukarmmah mein rahi jahan 65 naye mareez samnay anay hain.

Madina Munawwara mein 61, Jazan 57, Jeddah 52, Hail 40, Riyadh 40, Al Qunfudhah 38, Bisha 35, Tabuk 35, Yanbu 30, Al Quoz 29, Abu Arish 27, Abha 23, Al Hofuf 18, Najran 17, Khamis Mushait 16 aur Taif mein 11 maalat ka pata chala hai. Adaad-o-shumar ke mutabiq 10 shehron mein mareezon ki tadaad ek, Ek jabkay 18 shehron mein 2, 2 aur 8 shehron mein 3, 3 afraad mein coronavirus ki tasdeeq hui hai.

Wizarat sehat ke bamujab coronavirus se bachao ke liye samaji faaslay ke usool par amal kiya jaye. Ghar se baher jatay waqt mask laazmi tor par istemaal karen. Tarjuman ney kaha hai ke corona maalat mein kami ki wajah ye hai ke muqami shehri aur muqeem ghair mulkion mein naye coronavirus se bachao ke liye muqarrar hifazati tadabeer ki pabandi ney izafah huwa hai. Ziyada tar loog hifazati Mask pahannay aur samaji faaslay ki pabandi kar rahay hin. Mumlikat ke deegar idaray khusoosan wizarat sehat virus ko qaboo karne ke liye masroof hain.