Slider

Saudi Majlis e Shoora: Baghair Mehram safar ki sifarishaat mustard

By News Desk Roman Urdu

September 27, 2018

Riyadh. Saudi Majlis e Shoora ne budh ke ijlaas mein khawateen ko judge bananay aur baghair Mehram unhen safar karne ki ijazat se mutaliqa sifarishaat mustard kar dein. Tafseelaat ke mutabiq Rukn e shoora Iqbal Darindari ne sifarish paish karkay mutalba kya tha ke baaligh khawateen ko apne sarparast ki ijazat ke baghair safar ki ijazat di jaye. Kuch arsay qabal iss qisam ki sifarish par kaafi hungama hwa tha. Garma garam bahes hui thi taham voting nahi hui thi. Budh ko ijlaas mein bahas hui. Security Committee ne sifarish mustard kar di. muaqqaf yeh apnaya gaya ke iss sifarish ka asal hadaf iss Shahi farmaan ke ijra ke baad khud bakhud poora hochuka hai jis mein unhon ne tamam sarkari idaroon ko takeed ki hai ke koi bhi khidmat paish karte ya khusoosi karwai mukammal karte waqt sarparast ki manzoori ka khawateen se mutalba na kya jaye. Jahan tak baghair ijazat namay ke khawateen ke safar ki karwai ka maamla hai toh iss ka talluq sirf mahakuma Passport ya wizarat r dakhila se nahi balkay un ke sath wizarat e mehnat o samaji farogh jaisay mutaliqa idaron se bhi hai. agar mehakma passport ko kisi adalat se yeh hidayat mausool hogi ke khatoon safar karne ki majaz nahi ya sarparast ki ijazat ke baghair passport jari karanay ya tausee karanay ki majaz nahi to aisi soorat mein mahakuma passport is hidayat par fauri tameel karega lehaza wizarat dakhila se iss sifarish ka koi lena dena nahi. Security Committee ke samnay baghair Mehram ke khawateen ko safar ki ijazat dainay ki sifarish ka juwaz yeh paish kya gaya ke khawateen par iss qisam ki pabandi mard o zan ke darmiyan barabari aur insaaf par qaayim Islami Shariat ke bunyadi usoolon ke manafi hai. Alawa azeen iss qisam ki pabandi laganay se khawateen ki qanooni ahliat mutasir hoti hai. Kisi ko bhi khawateen par apni marzi thopne ya uskay saath na samajh jaisay insaan wala maamla karne ka ikhtiyar nahi ya tafreeq ki koi bhi shakal apnane ka kisi ko haq nahi jabkay sarparast ki ijazat se khawateen ke safar ko bandhna Saudi nizaam e hukoomat ke manshoor ke bhi manafi hai. Manshoor mein huqooq o faraiz ke hawalay se mard o zan ke darmiyan koi farq nahi kya gaya. Itna hi nahi balkay manshoor ki dafaa 36 mein yeh baat wazeh kar di gayi hai ke ”kisi bhi shakhs ke tasaruffaat par qaid o band lagana ya usay hawalaat ya jail mein band karna kisi ka haq nahi. Aisa bahukum e qanoon hi mumkin hoga. Iss se qabl Saudi khawateen ko Judge ke mansab par faayez karne se mutaliq qarardad ke draft ke haq mein 53 arkaan e shoora ne apna faisla dediya. Draft ki manzoori ke liye kam az kam 76 arkaan ki manzoori laazmi hai. Yeh allag baat hai ke Shoora ke maatahet Islami wo Adalati umoor ki Committee ne sharai aur qanooni ahliat rakhnay wali khawateen ko adalati manasab par sarfraz kiye jaaane ki sifarish mustarad kar rakhi hai. Lateefa al Shalan, Ataa al Sabitee aur Faisal al Fazil ne sifarish paish ki thi. Al Fazil aur al Shalan ne kaha ke sifarish ke haq mein 53 votes ka aana tawaquaat se baala tar hai. Arkaan e Shoora ki voting ka nateeja tawajjuh talab raha. Tawaqqa se kahin ziyada vote aeye. Ab hum kamyaabi ke kaafi qareeb pahonch gaye hain.