Latest News

Saudi Ladkiyoun Mein Ghodha Sawari Aur Muqabloun Ka Shouq Urooj Par

By News Desk Roman Urdu

August 09, 2019

Riyadh: Saudi Arab mein in dinoun aisi badi tabdeeliyan aarahi hain jinka haliya barsoun mein tasawur bhi mahaal hota hai lekin khawateen ko Driving ki ijazat, baghair Mehram ke sath safar aur deegar sahuliyaat ke baad Saudi khawateen deegar shoboun mein bhi dikhayi de rahi hain aur ab is waqt Saudi arab mein ladkiyoun ke liye ghodha sawari ka shouq urooj par hain halaanke yeh shouq kaafi mehanga hai. ghodhoun ko paalne par Shahi akhrajaat atay hain. stable mein ek ghoda rakhnay ka mahana kharch 1200, chaaray ka kharch 600, ghodey ki nishist ka kharch 300, Dr ka kharch 500 aur dekh bhaal karne walay ka kharch 500 rial aata hai. arabi media ke mutabiq Saudi arab mein ghodha sawari ka shouq ladkiyoun mein din-badin badhta ja raha hai. ladkiyan ghodha daudh ke muqabloun mein hissa le rahi hain aur kayi ek nay khud ko behtareen ghodha sawaar saabit kar ke inamaat bhi haasil kiye hain.

Dua-Faiz Nami ghodha sawar ladki nay apne shouq ki tafseelaat batatay hue kaha ke is nay ghodha sawari ka pehla muqaabla 2018 may apne naam kiya. Amira Noorah university Riyadh nay khawateen ke darmiyan ghodha daudh ke pehlay muqablay ka intizam kiya tha. is ki sarparasti ghodha doudh ki  Saudi tanzeem nay ki thi aur shehzadi Fahda bint-e-mohammed is tournament mein shareek hui theen.

Dua Faiz nay kaha ke woh 2010 se ghodha sawari ka shouq poora kar rahi hain. ye alag baat hai ke ghoda paalna aur is par sawari karna kaafi mehanga shouq hai. Dua Faiz ke mutabiq ghodha paalne ka matlab hai ke is ke liye stable, chaaray, vitamins aur janwaroun ke Dr ka intizam kiya jaye. safai ka ihtimaam kiya jaye aur ghodhe ki nigrani ka bhi bandobast kiya jaye. ek ghoda paalne par mahana kharch kam az kam 3600 rial aata hai. unhon nay mazeed kaha ke mujhe ghodha sawari ka shouq deewangi ki had tak hai. Ghoda bohat hi pyara aur shandaar janwar hai. Alhamdulillah mein ab tak ghodha sawari ke 18 muqablon mein shirkat kar ke pehla maqam haasil kar chuki hun. meri zindagi ka sab se bada muqaabla shehzadi Fahda international tournament tha, yeh Amira Noorah university nay munaqqid kiya tha. is mein 70 ghodha sawaar khawateen shareek hui theen.

Dua Faiz nay mazeed kaha ke woh Saudi national day ke jashnn per ghoda sawari ke pehlay karwan mein shareek hui theen. yeh khawateen tak mehdood tha. mein nay is mein shandaar kamyabi haasil ki thi. woh untoun ki daudh ke pehlay muqablay mein bhi hissa le chuki hain. ek aur ghodha sawaar ladki Khalid Atiya nay ghodha sawari ke shouq ka tazkara karte hue kaha ke yeh behtareen shouq hai, isse jismani aur zehni faiday hotay hain. is se insaan ko jo khushi aur lutf haasil hota hai usay bayan karna asan nahi. unhon naay ghodha sawari ke shouq se sabr, jurrat aur khud etemadi sikhi. mujhe iski badolat apne maqsad par poori tawajah dainay ka mauqa bhi haasil hua. isse jism ki intehai sakht aur mushkil warzish hoti hai. –YTN STAFF