Latest News

Saudi ki maizbani se Indonesia sabaq haasil kere ga: Abegebriel

By News Desk Roman Urdu

November 09, 2020

Riyadh: Saari duniya mein Coronavirus ki bemari ke waba ke douran ek taiz raftaar Digital tabdeeli samnay aayi hai aur G20 maizbani ki hesiyat se Saudi Arab ko yeh zimma daari qubool karni padi ke woh taizi se naya Health Protocol apane aur ek misaal qaim karkay duniya ko agay bhadne mein madad karay. Un khayalat ka izhaar Saudi Arab mein Indonesia safeer Agus Maftuh Abegebriel ke kiya.

Arab Media ko diye gaye ek Interview mein Abegebriel ne kaha Saudi Arab ne wabai bemari ko ek budqismat lamha nahi ban’nay diya. G20 ne taizi se naya Health Protocol apnaya aur November mein honay walay ijlaas ke liye ek online Mechanism tayyar kiya gaya. March se Conference Online chal padi jo is baat ka saboot ke Saudi Arab ne wabai amraaz ke douran G20 ke ejlason ko kis had tak sanbhala hai. Unhoun ne mazeed kaha ke mujhe umeed hai ke hum 2023 mein G20 ki maizbani ke liye Saudi sadarat se sabaq haasil kar saken ge.

Yaad rahay ke G20 bohraan 1999 mein peda huwa tha aur aalmi maali bohraan ki wajah se usay 2008-09 mein dobarah is challenge ka saamna kiya gaya tha. Yeh bohraan Europe khud mukhtar qarzon ke bohraan ke sath hi pesh aaya tha aur Euro zone ke motadid arkan apne sarkari qarz adaigi ya is ki maali eaanat se qassar thay. Aalmi GDP ki numoo 2007 mein 4.3 feesad se kam hokar 2008 mein 1.8 feesad reh gayi thi auv phir 2009 mein manfi 1.6 feesad rahi.

Saudi mein mojood mazkoorah safeer ne kaha ke G20 ne bain ul aqwami taawun ko qabil bananay ke liye ek ahem kirdaar ada kiya hai aur bohraan ke waqt aalmi qayadat ki zimma daari qubool ki hai. Unhoun ne mazeed kaha ke 2010 mein aalmi GDP ki numoo kamyabi ke sath 4.3 feesad hogayi aur baad ke aglay kayi saal mein osatan satah ki sharah 2-3 feesad rahi hai. Unhoun ne kaha ab Covid-19 ke is bohraan mein 2020 mein tawaqqa se ziyada buray asraat muratab hue hain. Abegebriel ne apne bayan ko jari rakhtay hue kaha ke Riyadh mein G20 ijlaas ko baday umoor aur aala tawaquaat ka saamna karna pade ga khaas tour par Covid-19 mein tabah honay walay ilaqon mein usay sakht challenge rahay ga.