Trending News

Saudi ki Lebanon se yakjahti, waqeye par afsoos ka izhaar

By News Desk Roman Urdu

August 05, 2020

Riyadh: Saudi Arab ne Lebanon ke dar-ul-hukoomat Beirut mein hue dhamakon aur un main honay walay jani nuqsaan par gehray dukh ka izhaar kiya hai. Saudi Arab ne dhamakon par Lebnani qoum ke sath mukammal yakjahti aur hamdardi ka izhaar karte hue kaha hai ke dhamakon ke baad peda honay wali soorat-e-haal par nazar rakhay hue hai. Saudi Arab ki wizarat kharja ki taraf se jari bayan main kaha hai ke Beirut dhamakon par mumlikat ko bohat sadma pouncha hai. Saudi Arab mushkil ki is ghadi mein Lebnani awam ke sath aur zakhmion ki jald sahet yabi ke liye duago hai.

Khayaal rahay ke Beirut mein ek bandargaah ke ilaqay mein mangal ki shaam muqami waqt ke mutabiq 6 bajey dhamakay hue jis ke nateejay mein badi tadaad mein emiratein aur gadiyan tabah ho gayeen. It-tila-aat ke mutabiq dhamakay itnay shadeed they ke un ki aawaz padosi mulk Cyprus mein bhi suni gayi. Dhamakon mein ab tak 80 afraad ke halaak honay ki tasdeeq ki gayi hai. 80 afraad halaak aur 4 hazaar se zayed zakhmi huve hain.