Riyadh: Saudi arab mein un dinon razakaar khawateen ka masla awaami tavajjo haasil kar raha hai. Saudi arab ney zair-e-hirasat khawateen raza karon ke hamion ke khilaaf karwai karte hue do Americi shehrioun sameit 7 blagerz aur qalam karon ko girftar kar liya hai .
Un 7 afraad ki giraftari us waqt hui hai jab Amrici qanoon daano ney Yemen mein Saudi arab ki zair-e-qayadat jung mein fouji himayat ke khatmay ke haq mein vote diya. yeh guzashta saal Istanbul ke Saudi sifaratkhane mein sahafi jamal Khushhogi ke qatal ke baad honay wali pehli giraftari hai. jamal Khusshogi ke Saudi sifaratkhane mein qatal par aalmi satah par baday pemanay par ehtijaj kiya gaya tha aur ibtidayi tor par inkaar ke baad Saudi arab ney aalmi dabao per sahafi ke qatal ko tasleem kar liya tha .
London ki insani huqooq ki tanzeem ke mutabiq Saudi aur America ki dohri shehriat ke haamil qalam kar aur Dr Badar Al Ibrahim aur Salah al Haider ko girftar kar liya gaya hai. Salah al Haider Maroof khatoon samaji rehnuma Aziza al Yousuf ke betay hain jinhein guzashta haftay hi uboori bunyadon par zamanat par raha kiya gaya tha lekin insani haqooq ki deegar khawateen raza karon ki tarhan unke khilaaf bhi karwai jari hai. insani haqooq ki tanzeem ALQSTK mutabiq girftar shuda tamam 7 afraad blagerz ya qalamcar hain jo zair-e-hirasat khawateen rehnumao ke haq mein aawaz buland karte rahay hain .
Saudi arab mein siyasi qaidyoun ka pata laganay wali tanzeem ney daawa kiya hai ke girftar kiye gaye afraad ki tadaad 10 hai taham abhi tak Saudi hukkaam ya Riyadh mein Amrici sifaratkhane ki janib se koi bayan samnay nahi aaya. Saudi arab aur Amrici shehriat ki haamil razakaar Noura Abdul Kareem ney twitter par kaha ke Saudi arab ki nai girftaryon ke hawalay se sab se pareshan kin baat yeh hai ke un girftaryon ke baarey mein maloomat kam se kamtar hoti ja rahi hain aur is se ziyada pareshan kan amar un tamam afraad ki is waqt giraftari hai. Saudi arab ko 11 khawateen ke khilaaf jari muqadmay par aalmi dabao ka saamna hai jahan taqreeban aik saal se qaid un khawateen ko beirooni media, sifaratkaron aur insani haqooq ki tanzeemon se raabtey ke silsilay mein girftar kiya gaya tha .
Reports ke mutabiq un khawateen ko douran-E-hirasat mobayyana tor par tashadud aur jinsi tor par harasan kiya gaya. un mein se aksar khawateen ko guzashta saal khawateen ke motorcycle chalanay par aed qadeem pabandi barkhwast karne se qabal girftar kya gaya tha taham un mein se teen khawateen ko zamanat par riha kardiya jis mein Azizah, Blager Imaan Al Funjaan aur mubalagh Ruqqia al muharab shaamil hain. taham rihayi se qabal un khawateen se ek ehad naame par dastakhat liye gaye jis mein likha hua tha ke yeh khawateen media se door rahengi .- YTN STAFF