Sports

Saudi Football Federation ki ‘be IN’ Sport Channel ke khilaaf FIFA ko shikayat

By Abdul Aziz

June 18, 2018

Saudi Federation ka kehna hai ke yeh channel siyasat ko khail se gudmud kar raha hai aur awam mein munafirat phelanay ke liye siyasi noiyat ke paighamaat ki tashheer kar raha hai. yeh channel maazi mein Aljazeera sports ke naam se kaam kar raha tha.

Saudi Arbia aur Qatar ke darmyan badhti munafirat ab khail ke maidan mein bhi dekhnay ko mil rahi hai. yun to dono mumalik ke darmain kuch barson se talkhiyon mein izafah hota ja raha tha magar guzashta baras Saudi Arbia ney, UAE, Egypt aur Bahrain ke sath mil kar Qatar se –apne safarati taluqaat munqita karliye hain aur June 2017 mein hi apne sifarat karon ko talab karliya tha . Al Arabia dot net ke mutabiq Saudi Arab ki Football Federation ney Qatar ke mlkiati Channel ‘be IN’ sports ke khilaaf Football ki bain al aqwami Federation Association ( FIFA ) ko bazabta taur par shkayti darkhwast dair kar di hai. is channel ko roos mein khailay janay walay aalmi cupp 2018 hamza ke khusoosi haqooq haasil hain aur woh Saudi Arab aur is ki qayadat ke khilaaf siyasi noiyat ke paighamaat Nashar kar raha hai. Saudi Federation ka kehna hai ke yeh channel siyasat ko khail se gudmud kar raha hai aur awam mein munafirat phelanay ke liye siyasi noiyat ke paighamaat ki tashheer kar raha hai. yeh channel maazi mein Aljazeera sports ke naam se kaam kar raha tha . is ney apni shikayat mein kaha hai ke is qatri channel ney Saudi Arabia aur Rusia ke darmiyan aalmi cup ke iftitahi match mein khail ki tamam aqlaqiaat ki khuli khilaaf warzi ki thi aur is ke paish car aur tajzia car ney FIFA ke qawaneen ko baalaye taaq rakh diya tha. un qawaneen mein khail ko siyasat se allag rakhnay par zor diya gaya hai. shikayat mein FIFA par zor diya gaya hai ke woh qatri channel ke khilaaf pabandiyan Aayed kere, is ko khail ke istehsal se rokay aur khail aur is ki ikhlaqiaat ko siyasi taasub ki nazar honay se bachaaye