Latest News

Saudi Arabia mein mashriq wasti ki sab se badi smart parking ki 13 manzil imarat ka iftitah

By News Desk Roman Urdu

August 05, 2019

Riyadh : Aalam-e-islam ki tamam tar tavajja is waqt islam ke do markazi shehar Mecca mukarramah aur Madinah Munawwara par markooz hain chunkay saari duniya se lakhoun aazmeen Hajj Saudi Arabia pohanch chuke hain aur hukoomat ki janib se har saal unki khidmaat aur inhen behtar se behtar sahuliyaat faraham karne ke liye naye aur akhtraay intizamaa kiye jate hain aur un hi sahuliyaat ki fehrist mein ab ek naye baab ka izafah huwa hai jaisa ke smart parking ka iftitah amal mein aaya hai. Mecca mukarramah mein masjid al haram se ek kilo meter ke faaslay par mashriqi wasti ki sab se badi smart parking ka iftitah kar diya gaya. yeh 13 manzila hai. parking mein aaney jaanay ke 10 rastay banaye gaye hain. yahan waiting hall aur wash room bhi banaye gaye hain. Governor Mecca mukarramah shehzada Khalid al faisal ney smart parking ka iftitah municipality ke aala ohdedaron aur sahafion ki moujoodgi mein kiya.

Smart parking Mecca mukarramah ke mashhoor qabristan al-mali ke qareeb qaim ki gayi hai. Mayor Mohammad al-qawhees nay governor mecca ko parking ke baarey mein tafseelaat faraham karte hue kaha ke jadeed tareen technology istemaal ki gayi hai. gaadi yahan pahunchte hi khudkaar nizaam ke tehat uska wazan aur size maloom kiya jata hai phir usay muqarara jagah bhej diya jata hai. Maalik ko gaadi 90 second ke andar khudkaar nizaam ke tehat daydi jati hai. fi ghanta jrt 10 rial se ziyada nahi. governor mecca mukarramah ko is mauqa par smart parking se mutaliq video bhi dikhayi gayi. unhon nay ek aur smart parking ka sang-e-bunyaad al-jameeza ke ilaqay mein rakha. yeh alam-aala qabristan ke shumali gate ke qareeb waqay hai. yeh parking 1920 murabba meter ke plot par taamer hogi.

khalid al faisal nay is mauqa par media numaindoun se guftagu karte hue kaha ke Saudi Arabia ke darwazay bulaa istashna duniya ke har mulk ke aazminؐ hajj wo omra ke liye khulay hue hain. 350 hazaar afraad hajion ki khidmaat par mamoor hain. Saudi Arabia kisi bhi muli ke khilaaf bad kalami nahi karta. nah hi sazishain karta hai aur nah hi pur-fareb sar garmion ka jawab ghair mayaari tareeqay se deta hai . -YTN STAFF