Doha: Saudi Arab ne bain-ul-aqwami dabao aur media coverage ke pesh-e-nazar 3 zair hirasat sahafioun ko reha kardiya hai. Insani haqooq ki muqami tanzeem ALQST ne ye ittila di. ALQST ne twitter par ye ittila dete hue likha hai ke Saudi Arab mein haal mein hui girftariyoun ki media coverage aur bain-ul-aqwami dabao ke pesh-e-nazar, intizamia ne musannif Bader al-Rashed aur Sulaiman al-Saikhan al-Nasser aur Fuad al-Farhan. Ko reha kar diya hai. Inhen izhaar raye ki azaadi ke liye kaam karne walay tamam qaidyoun ko reha karna chahiye.
ALQST ne kaha ke Saudi intizamia ne 16 November se mutadid sahafioun ko hirasat mein liya huwa hai. Hirasat mein liye gaye musanifeen Bader al-Rashed aur Sulaiman al-Saikhan al-Nasser aur Fuad al-Farhan. shaamil hain. ALQST ke mutabiq haliya dinoun Saudi Arab mein izhaar raye ki azaadi ke liye kaam karne walay kaarkunoun par lagaam laganay ka kaam kiya ja reha hai.
Qabal azeen committee baraye protect journalists ne ittila di ke, 32 sala blogger aur IT professional Fawad Ahmed Al-farhan ko bhi tehweel mein liya gaya tha. Is ki Arabi zabaan ki site par ab angrezi mein free Fawad banner mojood hai. Apni giraftari se jald hi dostoun ko beje gay khat mein, Farhan ne likha hai ke unhein bataya gaya hai ke wizarat dakhla is ki tehqiqaat kar rahi hai aur 2 haftoun mein is ko utha le gi. Farhan ka blog siyasi islahat ko farogh deta hai aur Azaadi, Waqar , Insaaf, Masawaat, shoora aur baqi tamam Islami eqdaar jo khoye hue hai is ki talaash mein tagline rakhta hai. –YTN STAFF