Riyadh : Saudi wizarat dakhla ne Aqamah , mehnat aur sarhadi salamti qawaneen ki khilaaf warzi karne walay tarikeen ke khilaaf karwaiyoun tez kardi hain jiske baad ek haftay ke douran mumlikat ke mukhtalif ilaqon se 37 hazaar 897 ghair qanooni tarikeen girftar kiye gaye. is muhim ke tehat ab tak 41 laakh 6 hazaar 219 girftar kiye ja chukay hain jabkay guzashta haftay ke aalamia mein unki tadaad 40 laakh 68 hazaar 322 batayi gayi thi.
Tafseelaat ke mutabiq wizarat-e-dakhla ne aalamia jari karte hue kaha hai ke 32 laakh 9 hazaar 698 Aqamah , 6 laakh 31 hazaar 628 mehnat, 2 laakh 65 hazaar 523 sarhadi salamti qanoon ki khilaaf warzi par pakde gaye hain. darandazi karne walay 71 hazaar 586 girftar kiye gaye un mein 44 feesad yemeni, 53 feesad Eithopian , 3 feesad mukhtalif mumalik ke hain.
Saudi arab se hamsaaya mumalik mein darandazi ki koshish karte hue 2 hazaar 866 girftar kiye gaye. Aqamah, mehnat aur sarhadi salamti qawaneen ki khilaaf warzi karne walon ko safar aur rehaish ki sahoolat faraham karne aur inhen qanoon nafiz karne walay idaron se chupane par 4 hazaar 643 girftar kiye gaye. qawaneen ki khilaaf warzi karne walay ghair mulkion ko transport ya rahaish ki sahoolat faraham karne mein mulawis ek hazaar 658 Saudi shehrion ko bhi girftar kiya gaya hai. un mein se ek hazaar 628 ko qanooni karwai karkay raha kardiya gaya jabkay 30 saudion ke khilaaf qanooni karwai jari hai.
15216 ghairqanooni tarikeen ke khilaaf qanooni karwai chal rahi hai. un mein se 13337 mard aur ek hazaar 879 khawateen hain. 5 laakh 67 hazaar 824 ghair qanooni tarikeen ko fori sazayen di gayeen. 5 laakh 21 hazaar 391 ghair qanooni tarikeen ko safri dastawizaat haasil karne ke liye sifarti missions ki tehweel mein day diya gaya. 6 laakh 88 hazaar 984 ghair qanooni tarikeen ko reservations ki karwai mukammal karne ka mauqa diya gaya aur 10 laakh 25 hazaar 699 ko be-dakhal kardiya gaya. –YTN STAFF