Slider

Saudi Arab mein taleemi saal Online andaaz mein sharu hoga

By News Desk Roman Urdu

August 29, 2020

Jeddah: Is waqt saari duniya ki nazrain Saudi Arab par markooz hochuki hain kyunke mumalik mein naya taleemi saal itwaar se shuru ho raha hai aur mumlikat bhar ke School Virtual Learning ki tayario mein masroof hain. Saudi Arab ke tamam talba Coronavirus ke khilaaf mumlikat ke ahteyati iqdamaat ke tehat pehlay semester ke pehlay saat hafton tak Remote Classes mein shirkat karen ge.Khitta Tabuk mein taleem ke Director General Ibrahim Bin Hussain Al Omari  ne kaha ke jahan tamam intizami amlay ko jismani tor par kaam par jana padta hai to doosri janib asateza aur talba Virtual Classes mein shirkat Karen ge.

Wizarat taleem neh kaha hai ke Middle School aur High School ke talba ko subah 9 bajey se online haazir hona pade ga, Jabkay ibtidayi School ke talba apni Classes dopehar 3 bajey shuru karen ge. Saudi hukoomat ki janib se yeh ek aisa faisla hai jis ka maqsad walidain ko chhootey bachon ki Remote tarz ki taleem mein ziyada se ziyada shaamil honay mein madad karna hai.

Online Platform weschool.sa ke zariye tamam classes ki shirkat ki ja sakti hai aur mutaliqa mawaad Apple aur Android Stores se dastyab hain. Asbaq ko Ayen TV Channel ya YouTube par bhi dekha jasakta hai. YouTube par mehfooz shuda dastawizaat ke ilawa Ayen TV par har mazmoon ka apna ek channel hoga.

Saudi Arab Wizarat ney kaha hai ke is saal khangi schools ko bhi online taleem ke liye mazkoorah tools istemaal karne ki ijazat hai, Wo online platform se bhi faida utha satke hain. Tamam School haftay mein kam az kam ek din mukhtas karen ge jis par talba aur un ke ahal khanah shirkat kar saktay hain taakay yeh yakeeni banaya jasakay ke jo loog kisi bhi wajah se online platform tak rasai haasil nahi kar saktay wo Assignment aur tashkis par amal kar saktay hain.

Darin Asna, Saudi Arab Wazeer taleem Hamad Al Sheikh ne naye taleemi saal ki tayario ka jaiza lainay ke liye riyasat ke sobai Education Directors ke sath ek ijlaas bhi munaqidah kiya. Wazeer ne 60 lakh se zayed talba ke liye Remote Classes ke intizamaa ke tasalsul ko bhi yakeeni banaya.