Riyadh: Saudi Arab mein coronavirus ko phelnay se roknay ke liye ayed kardah pabandion mein narmi aur halaat behtar honay ke baad mamolaat-e-zindagi bahaal ho rahay hain. Hukoomat ke ek ailamiye ke mutabiq sarkari shobay mein kaam karne walay tamam mulazimeen 30 August ko dafatir mein lout ayen ge.
Saudi Arab ki insani wasail aur samaji taraqqi ki wizarat ke hukkaam ne kaha hai ke sarkari mulazimeen ke kaam par lotney ka faisla mumlikat ke mukhtalif shehron aur ilaaqon mein coronavirus ki soorat-e-haal aur sahet ke asharyon ka jaiza lainay ke baad kiya gaya hai. Saudi Arab ki sarkari khabar-rasan Agency WAM ne wizarat ke zaraye ke hawalay se ittila di hai ke sarkari idaray aur hukkaam apne baaz mulazimeen ko gharon se hi kaam ki zimmay daari tafweez kar saktay hain lekin is ki sharait hon gi.
Kisi sarkari idaray ke mulazimeen ki jumla tadaad mein se sirf 25 fi sad tak apne gharon se ya daur reh kar kaam kar saken ge. Mutaliqa sarkari Agency ya idaara un mulazimeen ko aisay wasail muhayya kere ga jin ki badolat wo kisi daur jagah se kaam kar saken. Jin sarkari idaron ya mehakmon mein coronavirus ki waba phelnay ke ziyada khatraat hain, Un ke mulazimeen apne gharon se ya kisi daur maqam se hi kaam jari rakhen ge. Sarkari mulazimeen ki dafatir mein haazri ke auqaat lachak daar hon ge.
Dafatir mein haazri ya shanakht ke liye ungli se daab kar nishaan laganay ki shart moattal kar di jaye gi. Wazeh rahay ke Saudi Arab ney March mein coronavirus ki waba ko phelnay se roknay ke liye sarkari mulazimeen ki dafatir mein haazri moattal kar di thi aur mumlikat bhar mein sakht lockdown nafiz kiya tha. Phir Saudi hukoomat ney June mein coronavirus ke mamlaat ki tadaad mein kami ke paish-e-nazar lockdown aur Curfew mein narmi kar di thi aur sarkari aur niji shobay ke mulazimeen ney ba-tadreej apne kaam par lootna shuru kardiya tha.
Saudi Arab ki wazarat sahet ne guzashta roz coronavirus ke 1109 naye mamlaat ki ittila di hai. Ye guzashta chaar mah mein Covid-19 ke mareezon ki sab se kam yomiya tadaad hai. Wizarat ki ek Twit ke mutabiq haliya hafton mein is mohlik virus ka shikaar honay walay mazeed 30 mareez wafaat pa gaye hain jabkay 1702 sahet yab hogaye hain.