Slider

Saudi Arab mein phansay bairooni afraad ke liye khusoosi riayat

By News Desk Roman Urdu

March 30, 2020

Riyadh: Saudi Arab hi nahi duniya bhar mein Coronavirus ki wajah se hungami halaat ka saamna hai. Wizarat sahet ki janib se ahteyati tadabeer akhteyar karne ki hidayat musalsal di jarahi hain. Coronavirus se bachao aur usay phelnay se roknay ke liye hungami iqdamaat ke tehat Jeddah mein bhi Curfew ke auqaat mein izafah kar diya gaya hai, Jabkay Madina Munawwara ke 6 ilaqoun mein ahteyati tadabeer ekteyar karte huve 24 ghantay ka Curfew laga diya gaya hai taakay shehrioun ko gharoun tak mehdood rakha jasakay.

Saudi wizarat sahet ki janib se Mobile par mukhtasir paighamaat bhi arsaal kiye jarahay hain jin mein is amar ki takeed ki gayi hai ke apni hifazat karte huve gharoun se baher na nikle. Curfew laganay ka maqsad bhi hifazati iqdamaat par amal karwana hai taakay logoun ko is Virus se mehfooz rakha jasakay. Andorun mulk aur bain ul aqwami fazai safar par bhi pabandi barqarar hai. Media ki janib se mukhtalif hawaloun se sawalaat arsaal kiye jarahay hain jin mein beshtar sawalaat mojooda halaat se mutaliq hain.

Saudi Arab ki hukoomat hamesha halaat ke mutabiq iqdamaat karti hai hukkaam ki janib se hamesha insani pheloun ko madd-e-nazar rakha jata hai. Mojooda halaat ke tanazur mein bhi Saudi hukkaam ki janib se ye sahoolat faraham ki gayi hai ke jo Coronavirus ke sabab fazai rastay band honay ki wajah se Saudi Arab nahi aasakay inhen khusoosi riayat di jaye gi. Wo afraad jo chhutti par watan gaye huve hain aur waqt muqarara par Saudi Arab nahi aasakay, Un ke Kharooj o Odah ( Exit Reentry Visa ) ki muddat mein towsee kardi jaye gi.

Alawa azeen Saudi idaroun ki janib se yaqeen dehani karai gayi hai ke jo hi halaat mamool ke mutabiq honge aur safri pabandiyan khatam hongi, To Visa ki towsee khudkar tareeqay se ki jaye gi. Taham is baaray mein tareeqakar kya ikhtiyar kiya jaye ga is ka elaan abhi tak nahi kiya gaya. Adil Naeem ne kaha hai ke wo apne ahal khanah ke sath Jeddah mein muqeem hain, Kisi kaam se Riyadh gaye they magar wahan aamad waraft par pabandi aed kardi gayi hai. Kya woh Jeddah wapas aasakta hain?

Saudi wizarat sahet ki sifarish par Riyadh, Jeddah, Mecca Mukaramah aur Madina Munawwara mein Curfew ke auqaat badha diye gaye hain, Jabkay un shehroun mein anay jaaney par bhi pabandi ayed kardi gayi hai. Jeddah mein pehlay Curfew raat ko nafiz kar diya jata tha lekin 29 March se seh pehar 3 bajey se kardiya gaya hai aur biroun shehar se anay jaaney par bhi pabandi ayed kardi gayi hai. Mojooda sorat e haal mein behtar yahi hai ke awam Riyadh mein hi muqeem rahen kyunkay shehar ki Check Posts par mutayyan ehalkaroun ko hidaayat hai ke wo kisi bhi musafir ko mazkoorah shehroun mein anay na den. Taham is qanoon se samaan le jaaney wali gadiyaan mustasna hain. Shehar ke dakhli raastoun par mojood tamam Check Posts par Curfew ijazat naamoun ke baghair karoun ko guzarnay nahi diya jata. –YTN STAFF