Riyadh: Oont ko registaan ka jahaaz kaha jata hai, Saudi Arab aur Oont ka choli daman ka rishta hai. Saudi Arab apni shanakht walay janwar Oont ke liye duniya ka sab se bada dawakhana taamer kar raha hai jis par kaafi badi raqam kharch ki jarahi hai. Saudi Arab ke soobay Al Qassim mein Oontoun ke liye duniya ka sab se bada dawakhana taamer kiya ja raha hai. Is par 100 Million Riyal laagat aeye gi. Tafseelaat ke mutabiq wizarat maholiyaat o pani o zaraat ne kaha hai Oontoun ke liye Salam dawakhana ka iftitah jald hoga.
Ye duniya ka sab se bada aur jadeed tarz ka dawakhana hai. Is dawakhana ka maqsad Oontoun ki afzaish mein dilchaspi rakhnay walay shehrioun ko Oontoun ke ilaaj ki sahoolat faraham karna hai. Saudi khabar-rasan idaray SPA ke mutabiq Secretary maweshi umoor Dr hamd Al-Batshan ne kaha hai ke Salam dawakhana Project par teezi se kaam chal raha hai. Wizarat zaraat is dawakhana ke zariye maweshioun ke ilaaj ki sahoolat mayaari andaaz mein pesh karna chahti hai.
Wizarat maholiyaat o pani o zaraat ne kaha hai Saudi Arab mein Arab nazaad Oont badi tadaad mein mojood hain. Is dawakhana ki badolat Oontoun ki afzaish karne walay idaroun ko sahoolat haasil hogi. Wizarat ke mutabiq muqami sarmaya karoun ko Salam dawakhana ka License jari kiya gaya tha. Kaam mukammal honay ke baad yahan janwaroun ke Dr tainaat kiye jayen ge aur dawakhana ko chalanay walay karkun bhi muqarrar kiye jayen ge. –YTN STAFF