Slider

Saudi Arab mein kayi ohdedaron ko bar tarf aur subukdosh karne ka faisla

By News Desk Roman Urdu

August 21, 2020

Riyadh: Saudi Arab mein jari honay walay ek Shahi farmaan mein mutadid sarkari ohdedaron ko ikhtiyarat ke najaaiz istemaal, Mobayyana bad unwani aur bad intizami par bar tarf aur baaz ku sabukdosh karne ka hukum diya gaya. Ala Governor mein Royal Commission, Red Sea Company aur Al-Sudah Development Company ke Red Sea ki zamiinon par tejavzat aur khair majaaz iqdamaat par baaz ohdedaron ko bar tarf karne ke baad Saudi Arab un ke khilaaf ilzamaat ki tehqiqaat shuru ki gayi hain.

Saudi Arab Press Agency SPA ke mutabiq Royal commission For Ala Governorate, Red Sea Company aur Sudah Development Company ke Red Sea Project ki arazi par ikhtiyarat ke najaaiz istemaal ki 5,000 shikayaat mousool hui theen. Is ke ilawa un par kachi aabadiyon mein honay wali badsulokion ki shikayaat theen. Saudi Arab mein un Companies ki taraf se ghair majaz iqdamaat ke nateejay mein ilaqay mein maholiyati mushkilaat mein izafah huwa. Jis ke baad hukoomat ne un companiyon aur dosray idaron ke ohdedaron ko bar tarf ya subukdosh karne ke ehkamaat diye hain.

Shahi farmaan ke tehat jin ohdedaron ke khilaaf karwai ka faisla liya gaya hai un mein Lieutenant General, Awwad Eid Al-Aradi Al-Balawi ( Director General Of Border Security Forces ) ko subukdosh karne ka hukum diya gaya hai. Umluj and al-Wajh ke Governor ko bar tarf karne ke sath al-Soudah markaz ke chairman ko bhi ohday se hata diya gaya hai. Umluj and al-Wajh mein border guard Sector ke Commander ko bar tarf kar diya gaya.

Madina Munawwara Tabuk aur Aseer Governor mein shikayat aur ikhtiyarat ke najaaiz istemaal par aur wizarat dakhla ke ohdedaron ko ohday se hata diya gaya hai. Tabuk, Umluj and al-Wajh  aur al-Soudah ke mayor bhi ohdon se hata diye gaye hain. Madina aur Tabuk ilaaqon ke Secretariat mein khilaaf warzi ke zimma daar afraad ko ohday se farigh kar diya gaya. Wizarat dakhla, Baldiyat aur dehi umoor, Aur Emarat ke Madina, Tabuk aur Aseer ko tamam khilaaf warzyon ko daur karne ke liye ek mah ki muddat di gayi hai. Is ke baad kisi aur khilaaf warzi ki soorat mein bohat sakht iqdamaat uthaye jayenge.

Insidaad bud unwani commission nay mazkoorah baala shaksiaat ke khilaaf shikayaat par un se fori tafteesh ka faisla kiya hai.