Slider

Saudi Arab mein ek aur Multi Screen Cinema ghar ka iftitah

By News Desk Roman Urdu

August 17, 2020

Riyadh: Saudi Arab ki Hafar Al Batin commissioner mein taraqiyati umoor ke nigran alla Majid Al Qareni ne Al Makan Mall complex mein pehlay cinema ghar ka iftitah kiya hai. Taqreeb mein sarkari idaron ke ohdedar kaseer tadaad mein mojood they. Saudi khabar-rasan idaray ae ke mutabiq Al Qareni ne cinema ghar aur is ke halls ka dora kiya. Inhen naye cinema ghar se mutaliq tamam tafseelaat bataaye gayeen. AMC cinema ke Managing Director John Iozzi ne kaha hame Hafr Al- Batin mein apna naya maqam khol kar bohat khushii huvi hai. Hamein raat ke open turnout ke waqai mein bohat khushi

Anay walay hafton mein mein Bartania ke logon ke sath AMC cinema ke bohat se mazeed tajarbaat share karne ke muntazir hon kyunkay hum Saudi Arab mein fori tor par apne naqshoon ko badha rahay hain aur apne mehmanon ko har zayega ke mutabiq jadeed cinema ki shakalain faraham karte rehtay hain.

Meyaari zindagi programme ke tarjuman Mazroh Bin Salah neh kaha ke mumlikat ke deegar ilaqon ki terhan Hafr Al- Batin mein bhi cinema ghar khoola gaya hai. Mumlikat ke beshtar ilaqon mein cinema ghar kholnay ki Schemes hain. Is se qabal Tabuk mein bhi cinema ghar ka iftitah kiya ja chuka hai.

Al Mazroh ney mazeed kaha ke logon ko tafreeh ka samaan muhayya karne ke liye deegar ilaaqon mein bhi cinema ghar khole jayen ge. Meyaari zindagi programme ka bunyadi maqsad zindagi ke miyaar ko buland karna aur mumlikat ke tamam ilaaqon mein Saudi shehrion aur muqeem ghair mulkion ko sair-o-sayahat aur tafreeh ke mutawazan mawaqay faraham karna hai.