Riyadh: Saudi wizarat sahet ne khabardaar kiya hai ke Anti-Biotic doctori nuskhay ke baghair farokht karna mana hai. Pabandi na karne par qaid aur jurmane ki saza hogi. Tafseelaat ke mutabiq wizarat sahet ne tavajja dilae hai ke agar kisi shakhs ne Dr. ke nuskhay ke baghair Anti-Biotic farokht ki to usay 6 mah tak qaid, Ek Lakh riyal tak jurmane ki saza hogi jabkay licence mansookh kardiya jaye ga. Wizarat sahet ne wazeh kiya ke baaz Pharmacist is pabandi ka ehtram nai kar rahay hain ab un par nazar rakhi jaye gi. Wizarat sahet ne kaha ke bas auqaat Dr. ke nuskhay ke baghair Anti-Biotic ka istemaal manfi asraat ka baais bantaa hai is se Saudi aur ghair mulki sarfeen ko bachane ke liye pabandi lagai gayi hai.
Yaad rahay ke adwiyaat ke kaarobar aur Pharmacy par ghair mulkioun afraad ka raaj chal raha hai aur is shobay mein Saudi nojawanoun ki tadaad na hone ke bArabar hai, Is soorat-e-haal ko dekhty hue Saudi Arab ke khangi aur sarkari idaroun ne mulk mein Pharmacy aur adwiyaat ke shobay ki Saudization ke liye mutadid iqdamaat tajweez kiye hain. Tafseelaat ke mutabiq sarkari adaad-o-shumar se pata chala hai ke 5 hazaar Saudi pharmacist jin mein mard-o-khawateen dono shaamil hain, Berozgaar baithy hue hain jabkay Pharmacy mein ziyada tar kaam karne walay ghair mulki hain. Dawa saazi ke shobay ke musheer Aamir AL-Anzi ne kaha hai ke Saudi Arab mein dawa saazi ki sanat mein sarmaya karoun ko apna kirdar aada karne par amaada karne ke liye no tarbiyat di ja sakti hain.
Al-Anzi ne kaha ke ghair mulki adwiyaat ke indaraaj, daraamad, khareed-o-farokht, savdoun ke tareeqa kar ke shobay par chaaye hue hain. Bohat saari adwiyaat ki hosharba qeematein mutayyan kiye hue hain aur aisi adwiyah jin ka un se lain den tey hota hai inhen sastay damoun farokht karte hain. Dawaein daraamad karne, Takseem karne aur marketing karne waloun se 150% tak commission letay hain. Ghair mulkioun ki sakht sharait ki wajah se adwiyaat ke muqami dealer apni masnoaat ke narkh badhaane par majaboor ho jatay hain. Bairooni afraad mukhtalif heelay bahane karkay adwiyaat ki daraamad, Registration aur khareed-o-farokht ko control kar rahay hain. Ghair mulki distri butors adwiyaat ki marketing par apni adwiyaat ke hawalay se 49 feesad tak riayat daine ki shart lagaye hue hain. Apni adwiyaat ki tarweej ke liye izafi fees muqarrar kiye hue hain. Ek shart ye bhi lagatay hain ke un ki duwaein numaya jagah par rakhi jayen. Pharmacy ke andar adwiyaat ki mashoori ki policy bhi tey kar rakhi hai. Dawa saazi par laagat kam ane ke bawajood qeematein ziyada muqarrar kiye hue hain.
AL-Anzi ne mazeed kaha hai ke bairooni afraad ki ajarah daari khatam karne ke liye Saudi Arab mein dawa saazi par bhaari sarmaya kaari karni hogi. Sarmaya karoun ko is maidan mein laane ke liye targhebat dene hon gi. Dawa saaz factory ke liye asaan sharait par qarzun ka ijra, Sanati ilaaqoun mein dawa saaz factory ke liye allamti fees par plat ki farahmi, Dawa saazi ke liye baqaida aisay ilaqay tayyar kiye jayen jahan dawa sazoon ko matlooba saholatein muyassar hon, Dawa sazoon ko dawaein farokht karne ki saholaten di jayen, Custom duty na li jaye aur zaroorat padney par Re-export ki sahoolat bhi faraham ki jaye. Saudi Arab ko apne yahan adwiyaat ki market jadeed khutoot par ustuwar karna ho gi. Is ke liye mutadid iqdamaat kiye ja satke hain maslan adwiyaat ke baday saudey kiye jayen, Muahiday lambi muddat ke liye hon, Bar-aamad ke liye asaan sharait par qarzay muhayya hon, Sarmaya kar ke haqooq ke tahaffuz ke liye qanooni aur adalti saholaten muhayya ki jayen, Adwiyaat ki nai marketin kholne ke liye behtar saholatein faraham ki jayen, Is mansoobay ko kamyaab banane ke liye takneeki amlah tyar kiya jaye aur nojwanoun ko takneeki aur tarbiati Course karwaye jayen. –YTN STAFF