Slider

Saudi Arab mein 35 saal se zanjeeroon mein jakda Shakhs baaziyaab

By Abdul Aziz

August 18, 2018

Saudi Arab ke junoob maghribi ilaqa Jazan mein aik ghar se 35 saal se rassiyon aur zanjeeroon mein jakdey aik zehni mareez shakhs ko baaziyaab  karanay ke baad Hospital muntaqil kya gaya hai. Hukkaam ka kehna hai ke zanjeeroon mein jakda shakhs zehni aur nafsiyati mareez hai aur is ke ahal e khanah ney usay dosaron ko takleef pohanchaye janey ke dar se ghar mein zanjeeroon mein bandh rakha tha. Al-Arabia.net ke mutabiq Saudi wizarat Labour wo samaji behbood ke Jazan mein ohdedar Engineer Ahmed Alqunzi ney bataya ke Huroob Governeri mein deyaar Alsahalil ke maqam par aik ghar mein barson se 1 shakhs ko qaid rakhnay ki ittila mili. Ghar par chhapa maar kar 1 shakhs ko baaziyaab  karaya gaya aur usay Hospital muntaqil kya gaya hai. Is ki haalat kaafi tashweesh-naak hai. Woh zehni aur nafsiyati awarz ka shikaar hai. Taham Hospital mein hukoomat ki nigrani is ka ilaaj mualja jari hai. Al-Qunzi ney kaha ke mazkoorah shakhs ki Umar 35 saal se zayed hai. Is ke ahal e khanah ney usay ghar mein bandh kar rakhnay ka yeh juwaz paish kya hai ke agar woh usay khula chortay to woh ghar mein mojood kisi bachay ya parosion ko nuqsaan pouncha sakta tha. Hukoomati ohdedar ka kehna hai ke nafsiyati mareez ko zanjeeroon mein jakadnay ke maamla ki tehqiqaat ki ja rahi hain magar usay gharelo tashadud mein shaamil nahi kiya ja sakta.