Trending News

Saudi Arab ki taqreeban 23 hazaar Masajid mein Sanitization

By News Desk Roman Urdu

May 08, 2020

Riyadh: Wizarat Islami umoor ne Saudi Arab ke mukhtalif ilaqoun mein 22 hazaar 119 Masajid mein Corona se hifazat ke liye Sanitization ki. Hifazati iqdamaat ke tehat ki janay wali ye karwai wazeer Islami umoor Sheikh Abdullatif Al-Sheikh ke hukum par anjaam di gayi. Tafseelaat ke mutabiq Novel Coronavirus se muqami shehrioun aur ghair mulkioun ko mehfoz rakhnay aur Virus ko phelnay se roknay ke liye Saudi Arab ki tamam Masajid mein jummay aur jamaat se Namaz par pabandi lagi huvi hai.

Wizarat Islami umoor ne Report jari karte huve kaha hai ke dosray marhalay mein 13395 Masajid ko Sanitize kiya jayega. Is zimn mein 697500 murabba meter qaleen, 26790000, Quran kareem ke nuskhoun ko bhi sanitize kiya gaya. Alawa azeen 66975 meter lambay qaleen Sanitize kiye gaye jabkay 669750 Quran Pak ki Almariya aur Rahloun ko Sanitize kiya gaya. Mukhtalif Masajid mein 1 lakh 7 hazaar 760 taharat khaanoun mein gems kash Spray kiya gaya. Masajid ki safai aur sanitizing mein 6061 karkun aur takneeki umoor ke mahireen shareek huve. Wizarat Islami umoor ne bataya ke safai aur Sanitizing ka amal jari hai. Saudi Arab ke tamam soboun Commissioner aur tehseloun mein mojood masajid ki safai, Sanitizing aur islaah o murammat ka kaam anjaam diya jayega. –YTN STAFF