Latest News

Saudi Arab ki janib se bain ul aqwami safri pabandion ko kam karne ka elaan

By News Desk Roman Urdu

September 14, 2020

Jeddah: Saudi Arab 15 September se bain ul aqwami parwazon ki pabandion ko juzwi tor par khatam karde ga. Wizarat dakhla ney kaha ke coronavirus wabai amraaz ki wajah se safri pabandiyan ayed karne ke 6 mah baad ab is mein juzwi narmi barti jaye gi. Is elaan ke baad Umrah zaireen ke liye halaat behtar hotay deekhaee day rahay hain.

Saudi Arab ki Wizarat ny kaha ke aglay saal yakam January ke baad hawai zameeni aur samandari naqal-o-hamal par tamam pabandion ka khtama hojaye ga. Darin asna khaliji riyasat ke shehri aur ghair aqwam Iqama ke rehaishi ijazat naame ya visit visa walay 15 September se Saudi mein daakhil ho saktay hain bashart-e-kay unhoun ny pichlle 48 ghanton mein coronavirus ka test karwaya ho aur inka nateeja manfi aaya ho.

Deegar ghair mamooli zamray, Jaisay sarkari aur fouji mulazimeen, Ghair mulki sifarat khanaay ke karkunaan aur jin logoun ko tibbi imdaad ki zaroorat hoti hai, Inhen bhi 15 September se dakhilay aur baher jane ki ijazat hogi. Beron mulk taleem haasil karne walay nojawan Saudi raahat ki saans le sakte hain, Kyunkay Scholarship talba, Khud kafeel talba, Medical Flagship Programs mein tarbiyat Yafta afraad bhi un afraad mein shaamil hain jin ki taleem ya tarbiyat dosray mumalik ke safar ki zaroorat hoti hai.

Jeddah se talluq rakhnay walay Javahar Abdul Al Latif ney kaha Holland ki ek University se qabuliat ka khat masool honay ke baad jab mein ney apni PhD ki taleem haasil karne ke liye tayari kar raha tha tab hi lockdown huwa lekin mein ney apni umeedon ko barqarar rakha aur elaan ke anay ka intezaar kiya aur ab is elaan ney mujhe raahat di hai.

Lockdown ki wajah se judda hue khandan apne pyaaron se mulaqaat ke liye Saudi ke baher bhi safar kar saktay hain kyunkay hukkaam ne inhen insani mamlaat mein shaamil kiya hai. Saudi mumlikat se baher rahaish ka saboot rakhnay walay Saudi bhi safar kar saktay hain aur Umrah ziyarat muatali ko khatam karne ki taraf aahista aahista iqdaam hoga.