Slider

Saudi Arab: Haramain Express Train Station mein aag

By News Desk Roman Urdu

August 07, 2020

Mecca: Haramain Express Train Station Jeddah mein aag bhadak uthi. Fire Brigade ki teams aag bujhanay mein masroof nazar aayi. Website ke mutabiq Mecca Mukaramah ilaqay mein shehri difaa ke tarjuman Colonel Mohammad Bin Osman Al Qarni nay kaha ke mushtarqa operation center ko 911 par atishzadgi ki ittila ki mel thi hi Fire Bridga semet Rescue teams mutharik kardi gayi. Maayne se pata chala ke aag Al Sulaymaniyah mohalle ke Al Haramain train station ke sehan mein mojood portacabins mein lagi hui hai jinhein dafatir ke tor par istemaal kiya ja raha tha. Sehan 20×60 ke dairay mein waqay hai. Al-Qarni ne kaha ke aag lagnay se koi jani nuqsaan nahi huwa.

Al-Qarni ne kaha hai ke bar waqat karwai karkay aag ka daira mehdood kardiya gaya aur usay aas paas ke ilaaqon tak phelnay se rokk diya gaya. Taham teams aag bujhanay ki karwai jari rakhay hue hai. Mecca Mukarmah Governorate ne atishzadgi par mushtamil video jari kar di.