Trending News

Saudi Arab Corona se nimatnay wala kamyaab tareen mulk

By News Desk Roman Urdu

July 25, 2020

Geneva: Aqwam Mutahidda ke matehat International communication organization nay kaha hai ke Saudi Arab corona ki waba se nimatnay wala kamyaab tareen mulk hai. Mumlikat nay waba se peda honay walay asraat se nimatnay mein mawaslati Technology ka bharpoor istemaal kiya.

Saudi khabar-rasan idaray SPA ke mutabiq International Communication organization ny apni report mein kaha hai ke Saudi Arab ny waba ke sar abharte hi information technology and communication system ko ghayr-maa’mooli tor par mo-asar kar diya. Is ki badolat sahet, Taleem sameit tamam ahem idaron ko ek dosray se marboot kardiya gaya. Ahem Application muft faraham ki gayeen. Tamam idaron ny marboot mawaslati nizaam ki badolat hungami masail se nimatnay mein mushtarqa team ke tor par kaam kiya.

Bain ul aqwami tanzeem ki report mein kaha gaya hai ke communication ke bunyadi dhanchay ki badolat Saudi Arab mein internet ka fi kis osat istemaal bain ul aqwami osat istemaal se ziyada raha. Duniya bhar mein internet ka fi kis istemaal 200 mega bite ke lag bhag hai. Mumlikat mein internet ka fi kis istemaal 3 guna ziyada 920 mega bite se bhi agay badh gaya hai.

Report ke mutabiq agar bunyadi digital dhancha mazboot nah hota aur mumlikat mein mawaslati companiyon ke liye mukhtas Webs ka daira badha nah diya gaya hota to ye kamyabi haasil nahi hosakti thi. Saudi mawaslati companiyon ko 2017 mein 340 mega hurts ki sahoolat thi jisay 2020 mein 226 feesad badha kar 1110 mega hurts taq pouncha diya gaya. Yahi wajah hai ke Saudi Arab is hawalay se G20 mein shaamil mulkon mein ahem maqam haasil karne mein kamyaab raha.

Aqwam mutahidda ki report mein kaha gaya hai ke March se June 2020 taq Saudi Arab mein mobile aur land line ka istemaal 34 feesad tak badh gaya. Internet ki raftaar aur is taq rasai bhi bohat aala darjay ki rahi. Report mein ye bhi kaha gaya ke Saudi Arab ney International Civil Society, Communication ki International organization ke sath zabardast taawun kiya. Mumlikat ney corona ki waba ke baad duniya bhar ke mulkon ke sath digital tabdeeli ka kamyaab tajurbah share kiya.