Yerusalem: Israeli akhbar neh inkishaaf kiya hai ke Saudi Arab aur Israel ke darmain khufia mazakraat ho rahay hain jin ka maqsad maqboza Bait Ul Muqaddas mein Islami amlaak ka control Saudi Arab ke zair e intizam karna hai, Taham Israeli hukkaam neh aisay kisi bhi mazakraat ki tardeed ki hai.
Kheliji akhbar ki report mein kaha gaya hai ke dono mulkoun ke darmain honay walay mazakiraat sifarat karoun ki satah par shuru huve aur is mein aala satah ki Israeli security team, Americi hukkaam aur Saudi hukkaam bhi shaamil they. Un mazakiraat ke zariye jo moahida karne ki koshish ki ja rahi hay usay sadi ka tareekhi moahida qarar deya ja raha hai.
Report mein mazeed inkishaaf kiya gaya hai ke Masjid Al Aqsa mein Islami Endowment Council mein kisi bhi terhan ki tabdeeli ke hawalay se urdan ney sakht mukhalifat ki thi, Ye tabdeeli muqaddas maqam par Turkey ke badhatay kirdaar ki wajah se aayi hai.
Report ke mutabiq, Urdni team ney Bab Ul Rehmah ke maqam par pesh anay wali bad amni aur 2017 ke Metal Detector bohraan ke baad Islami Endowment Council mein towsee ki mukhalifat ki aur Oslo muahiday ki mukhalifat mein jatay huve ghair mamooli andaaz se is baat par ittafaq kiya ke council mein Palestine numaindoun ko shaamil kiya jaye.
Report mein Palestine numaindoun par ye ilzaam ayed kiya gaya hai ke un ki council mein shamoliat ki wajah se hi Al Aqsa masjid ke mamlaat mein Turkoon aur Iranio ne mukhtalif tanzeemoun ke zariye Turk hukoomatoun se lakhoon dollars ke atyat wusool karkay apne qadam jamanay ki koshish ki. Un tanzeemoun ko Turk sadar Recep Tayyip Erdogan ke wazeh ehkamaat haasil they. –YTN STAFF