Patna : Patna ( PR ) urdu council hind ke naazim anwar-ul-huda nay Bihar ke chief Minister Nitesh kumar, Bihar public service commission ke chairman , dakhla secretary Aamir sbhani, director general of police Gupteshwar pandey, mehakma kabeena secretariat ke principal secretary Deepak kumar, mehakma janglaat aur mahooliyaat ke principal secretary Deepak kumar singh ko likhay gay alag alag maktoob ke zareya urdu ko nazar andaaz karne par afsos ka izhaar kiya hai. Sardar Patel bhavan, Bihar Abhilekhagaar bhavan, Bihar public service commission, Patna zoo ke sign board se urdu gayab hai. tamam ahem mehakmon ke sign board aur naam ki takhtiyoun ko laazmi tor par urdu qanoon ke mutabiq urdu ko bhi shaamil karna hai lekin afsos ki baat hai ke Bihar ke beshtar mehakmon ke sign board, name plate par urdu ko bilkul hi nazar andaaz kardiya jata hai.
Bihar abhilekhar gaar bhon jahan barsoun se mehakma kabeena secretariat ke tehat urdu directorate ka har programme hota hai aur isi mehakma ke tehat Bihar abhilekhar ghar bhavan ke sign board mein bhi urdu ko nazar andaaz kardiya gaya hai. halaanke is se pehlay chief minister Bihar se guzarish karne par bapu subhagar, geyan bhavan, vishveshwaria bhavan jaisay ahem imarat ke sign board mein bohat hi achay andaaz se urdu ko shaamil karkay urdu qanoon ki paasdari ki gayi thi jiska urdu abadi nay Samim qalb se istaqbaal bhi kya tha. Anwar-ul-huda nay ek baar phir mazkoorah zimma daraan se un ahem amarat ke sign board aur name plate par urdu ko shaamil karne ki maang ki hai aur kaha ke is se riyasat ki doosri sarkari zabaan ki ahmiyat aur ifadiyat main izafa hosakay aur urdu qanoon ka amli nifaz hona mumkin ho sakayga. –YTN STAFF