Slider

Sania Mirza aur Veena Malik mein Twitt jung – tanqeed aur jawabi tanqeed

By News Desk Roman Urdu

June 18, 2019

Manchester: World Cup mein Hindostan se muqablay se qabal team ke match se qabal Pakistani khiladiyon aur Sania Mirza ki sheesha parlour (Hukka Parlour) mein banai gayi Video Social media par khoob Viral horahee hai, jis ke baad ab sania Mirza aur Pakistani adakara Veena Malik ke darmain bhi jhagde ka aaghaz hogaya hai. Veena Malik ney Sania Mirza aur Shoiab malik ki Viral Video par samaji raabtey ki Website par twitt ki.

Apni Twiit mein unhon ney likha ke Sania mein tumahray betay ke liye fikarmand hon, aap usay aik sheesha parlour (Hukka Parlour) le kar gayeen, kya yeh is ki sahet ke liye khatarnaak nahi? aur jahan tak mujhe maloom hai is jagah par sirf junk Food milta hai jo hamaray khiladiyon ki sahet ke liye muzir hai, aap ko bhi is baat ka andaza hoga, kyun ke aap khud aik maa aur khiladi hain.

Veena ki is twit ke baad Sania Mirza ney inhen tanqeed ka nishana banatay huwe likha ke Veena mein apne betay ko Sheesha Parlour (Hukka Parlour) le kar nahi gayi aur yeh aap ka ya kisi aur ka masla bhi nahi, kyun ke mein janti hon ke mein jitna apne betay ka khayaal rakh sakti hon koi aur nahi rakh sakta, doosri baat yeh ke mein Pakistan Cricket team ki maahir ghizaiyat nahi, nah hi un ki maa, Principal ya Teacher hon, jisay yeh maloom hoke woh kab sotay hain, kab uthte hain, kab khatay hain, aap ke khayaal ka shukriya, yeh qabil mainey hai.

Baad azan Veena ney Sania Mirza ko karara jawab dete huwe apni aik aur twit mein likha ke khoshi huwi yeh sun kar ke aap –apne betay ko wahan nahi le kar gayeen, waisay kya mein ney kahin yeh likha ke aap Pakistani team ki maahir ghizaiyat ya maa hain? mein ney bas yeh kaha ke aap khud aik khiladi hain to yaqeenan aap janti hon gi ke fitness khiladiyon ke liye kitni zurori hoti hai, aur aap aik Cricketer ki ahliya bhi to hain? aap ko un ki sahet ka khayaal rakhna chahiye.

Un dono Stars ke darmain jari is takraar ka ekhtataam yahan nahi huwa, Sania Mirza ney Veena Malik par tanqeed karte huwe aik twit mein likha ke teesri aur sab se zurori baat yeh ke agar mein aap ki jagah hoti to mujhe ziyada fikar is baat ki hoti ke mere bachay woh na munasib magazine Cover nah dekh len, jis mein aap mojood hain, aap janti hain nah woh bhi khatarnaak hai? lekin aap ke khayaal ka behad shukriya, yeh mere liye bohat ziyada qabil maienay hai.

Haisay hi Sania ko is baat ka andaza huwa ke unhon ne Veena par tanqeed karte huwe ghalat jumlon ka intikhab karliya, unhon ne apni is twit ko fori delete kardiya. Taham is ke screen shots pooray twitter par Viral hogaye. Veena ney Sania ki is twit ka screen shot shaya karte huwe likha ke apne andar himmat layein aur apni twit delete karne se guraiz karen, khush qismati se technology kaafi agay barh chuki hai, itni ke ab log –apne amal se inkaar nahi kar saktay aur jis magazine ki koor aap baat kar rahi hain, is mein meri tasaveer ko tabdeel karkay paish kiya gaya, balkay mein bhi woh tamam tanazuath samnay laa sakti hon, jin ka aap hissa rahi, lekin mein is behas ka rukh nahi modna chahti.

Is jhagde ke douran Sania Mirza ney Veena Malik ke twitter account ko bock kardiya, jis ka screen shot Veena ney shaya bhi kya. khayaal rahay ke World Cup ke ahem muqablay mein Pakistani team ki Hindustani team ke khilaaf shikast ke baad team ko is ki naaqis karkardagi par shadeed tanqeed ka nishana banaya ja raha hai. Taham isi douran samaji raabtey ki Website par kuch Videos aur tasaveer bhi Viral huien jin mein dekha ja sakta hai ke Pakistani team ke kuch khiladi sabiq Captain Shoiab Malik aur un ki ahliya Sania Mirza ke hamrah aik restaurants mein mojood hain.

Jin sarfeen ki janib se yeh Videos aur tasaveer shaya ki gayi theen unhon ney daawa kiya tha ke yeh tasaveer Hind. Pak match se qabal raat taqreeban 2 bujey li gayi theen. Shoiab Malik ki ahliya Sania Mirza ney bhi un tasaveer aur videos par apne rad-e-amal ka izhaar kiya tha. Unhon ney twitt mein apne ghusse ka izhaar karte huwe kaha ke hamari ijazat ke baghair Video banai gayi, is mauqa par hamara bacha bhi hamaray sath tha, hamari zaati zindagi ki bhi parwah nahi ki gayi. Unhon ney video bananay walay ko agli baar behtar mawaad talaash karne ka mahswara dete huwe kaha ke match mein shikast ke baad bhi khana khanay ki ijazat hoti hai.