Islamabad : Jammu Kashmir ko khusoosi haesiyat deney walay aaen ke Article 370 ko mansookh karne ke Hindustan ke faislay ki jawabi karwai mein ”Samjhauta Express ki mustaqil muatali ke baad, Pakistan ney ab Lahore . Dehli Dosti bus service bhi mo-attal kardi hai. Bus ki mu-atali ka elaan wafaqi wazeer postal services and muwasilat, Murad Saeed ney jummay ko apne ek tweet mein kiya. unhon ney apne tweet mein kaha ”NSC( qaumi salamti committee ) ke faislon ke mutabiq, Hindustan . Pakistan bus service mo-attal kardi gayi hai.
wifaqi wazeer railway Sheikh Rasheed Ahmed ney Samjhauta express train service ko mustaqil tor par mo-attal karney ka elaan karne ke ek din baad yeh elaan kiya gaya hai. yeh bus khidmaat February 1999 mein shuru hui thi lekin 2001 mein parliament hamla ke baad usay mo-attal kar diya gaya tha. phir July 2003 ko is bus khidmaat ko bahaal kiya gaya.
Is se qabal jummay ke roz Rasheed Ahmed ney elaan kiya tha ke Pakistan, Thar-link express ko bhi band kar raha hai, jo Hindustan ke sath is ka aakhri baqiya train hai.
Thar link express, thar express Hindustan ka hissa hai jo jodhpor aur Munabao ke mabain haftay mein ek baar chalta hai. dono train khidmaat 2006 mein dobarah shuru honay se pehlay 1965 ki Hindustan Pakistan jung ke baad band kar di gayi theen.
Chaharshambe ko Hindustan ki janib se jammu wo Kashmir ke liye khusoosi haesiyat khatam karne ke faislay ke baad, Pakistan ke NSC ney safarti taluqaat ko kam karne aur Hindustan ke sath bahami tijarat ko mo-attal karne ka faisla kiya. yeh faisla wazeer-e-aazam Imran Khan ki zair-e-sadarat NSC ijlaas ke douran kiya gaya aur is mein wazeer-e-kharja Shah Mahmood Qureshi aur deegar aala wazraa ney shirkat ki. –YTN STAFF