Lucknow : Ram janam bhoomi Babri Masjid araazi tanaza case mein supreme court ki samaat khatam honay ke baad, BJP ke rukan-e-parliament sakshi maharaj ne elaan kiya hai ke ayodhya mein 6 dec se Ram mandir ki taamer shuru hogi. ittafaq se, 1992 mein ayodhya mein jab Babri Masjid ko munhadim kiya gaya tha tab 6 dec ki hi tareekh thi.
Sakshi maharaj ne kaha ke ”Mandir ki taamer isi din shuru hojani chahiye, jis din dhancha giraya gaya tha. unhon ne Unnao mein media numaindon se baat karte hue kaha ke ” narendra modi aur wazeer-e-dakhla amit Shah aur uttar pradesh ke wazeer-e-aala Yogi adtiyanath ki koshisho ki wajah se yeh khawab haqeeqat ban raha hai “.
Sakshi maharaj ne mazeed kaha ke ”Hindu aur musalman milkar mandir ki taamer mein madad karen. unhon ne kaha ke ”sunni waqf board ko is haqeeqat ko qubool karna chahiye ke Babar ek hamla-aawar tha unka aaba wo ajdaad nahi tha“.
BJP ke ek aur rukan-e-parliment subramniam -swami ne kaha hai ke unki darkhwast ke baad hi supreme court ne ayodhya case ki samaat mein tezi layi hai. unhon ne kaha ke diwali ke sath sath. is ka bhi poooray mulk mein jashn manaya jayega, kyunkay Ram mandir ki taamer crores hinduo ke khawab ki tabeer hai “. –YTN STAFF