New Delhi: Hindustan ki mukhtalif reyaston mein saelaab se mutasirah ilaqon mein pani ki satah kam honay ke baad wabai amraaz ko roknay ke liye wasee paemanay par safai muhim shuru ki gayi hai.
Punjab mein saelaab ka pani kam honay ke baad mutasir ilaqoun mein koda cricket hataane ke liye municipal corporation ke senkdon safai mulazmeen ke sath sath tractor trollies aur deegar machinery lagai gayi hai. Ohdedaroun ki nigrani mein sabhi gaon mein sanitation teamen banayen gayi hain taakay waba ke phelnay ki rok thaam ke liye safai ko yakheeni banaya ja sakay.
Sarkari tarjuman ne kaha ke safai teamon ki janib se saelaab ke pani ke sath aaye keechad, gandagi, plastic waghera saaf ki ja rahi hai aur un gaon mein guzishta kuch dinon se din mein do baar fogging bhi ki ja rahi hai.
Tarjuman ke mutabiq ziyada tar gaon mein saelaab ke pani ki satah kam ho gayi hai jiski wajah se safai muhim chalana aassan ho gaya hai aur hukoomat saelaab mutasirah gaon mein halaat mamool par laane ki ijtimai koshish kar rahi hai.
Is douran 8 august ke baad shaded barish ki wajah se saelaab aur matti ke today girnay se mutasirah himachal pradesh aur Uttarkhan sameit Haryana , chandigarh, Dehli , maghribi Uttar pradesh, Rajasthan, mashriqi wasti riyasatain, chateesgarh, Bihar , Odisha , andman nicobar jazair, Gujrat, kuch, sahili aur junoobi karnatak, tamilnadu,, aur kerala mein mukhtalif muqamat par aglay 12 ghantay ke douran taiz barish honay ke aasaar hain.
Mehakma mousmiyat ke mutabiq junoobi maghribi monsoon maghribi rajasthan mein ziyada sargaram raha hai jabkay sorashtar, kuch aur kerala mein sargaram raha. Bihar, Uttar pardesh, Haryana , Punjab , Jammu and Kashmir , Andhra pradesh, Tamil nadu aur shumali karnatak mein monsoon kamzor hai.
Iske alawa maghribi wasti aur junoob maghrib bahera arab, bangal ki mashriq khaleej aur andaman nicobar jazair mein 45-55 kilometer fee ghanta ki taiz raftaar se hawa chal sakti hai. mahigeeron ko is douran samandar mein nah jane ka mahswara diya gaya hai. –YTN STAFF