Manchester: Coronavirus ke baad England mein Cricket bahaal huvi hai aur West Indies ki maizbani ke baad English Team ne Pakistan ke sath test series ka aaghaz kiya aur rawan test ki pehli hi Inning mein Pakistan ke liye ek naya Record bana hai jaissa ke opener Shan Masood sabiq azeem opener Saeed Anwar ke baad 24 saal baad England mein century bananay ka karnaama anjaam diya hai.
Shan Masood 24 saal ke taweel arsay baad England mein Pakistan ki janib se century bananay walay opener ban gaye. Is se qabal sabiq opener Saeed Anwar ne 1996 mein Oval ke maidan mein century banai thi aur is Inning mein baen haath ke opener Anwar ne 176 runs banaye they, Jis ke baad aaj tak koi bhi Pakistani opener is terhan ki karkardagi dikhaane mein nakaam raha tha.
Shan masood ney nah sirf taweel arsay baad England mein century score karne ka aizaz haasil kiya balkay test career mein musalsal teesri century bananay ka aizaz bhi haasil karliya hai jo Pakistan ke chand Batsmans ko hi haasil hai. Is se qabal Zahir Abbas ney 83-1982, Mudasser Nazar ney 1983, Mohammad Yousuf ney 2006, Younis Khan ney 2014, Misbah Ul Haq ney 2014 mein musalsal 3 centuria banai theen. Khayaal rahay ke 2014 mein musalsal centuria bananay walay sabiq captain Misbah Ul Haq is waqt Pakistani team ke head coach aur Younus Khan batting coach hain.