Sports

Sadkon par kaam karne wala Painter Football World Cup ka khiladi ban gaya

By Abdul Aziz

June 18, 2018

English Club Manchester City ke liye forward ke taur par khailnay wala yeh khiladi 1997 mein paida huwa. Gabriel ki internet par samnay anay wali tasweer 2014  ki hai. yeh woh hi saal tha jab un ke mulk ney football ke world cup ki maizbani ki thi. Dilchesp baat yeh hai ke Gabriel us waqt Sadkon par bataur painter kaam karta tha.

Rusia mein jari Football World Cup mein itwaar ke roz Brazil aur Switzerland ka match 1.1 se barabar raha to yeh 1978  ke baad pehla mauqa tha jab Brazil world cupp mein apna iftitahi match nah jeet saka. is se qabal 1978  ke football world cup mein Brazil aur Sweden ney 1.1 Goal kya tha. Itwaar ke roz agarchay Brazil apne aik difai khiladi ki ghalti se jeet ko yakeeni nahi bana saka taham Brazil ka aik aur khiladi Gabriel jiss internet par apni aik purani tasweer ke sabab logon ki tavajja ka markaz ban gaya. Al Arabia dot net ke mutabiq English Club Manchester City ke liye forward ke taur par khailnay wala yeh khiladi 1997  mein paida huwa. Gabriel ki internet par samnay anay wali tasweer 2014  ki hai. Yeh woh hi saal tha jab un ke mulk ney football ke World Cup ki maizbani ki thi. Dilcehsp baat yeh hai ke Gabriel us waqt Sadkon par bataur painter kaam karta tha. Saal 2016 mein Gabriel Olympic Games mein shirkat karne wali Brazil ki us football team ka hissh tha jis ney sonay ka tamgha haasil kya. Ab woh Rusia mein honay walay Football World Cup ke liye hatmi 23 rukni team mein jagah bananay mein bhi kamyaab raha. Social Media ki mukhtalif web siton par Gabriel ki bohat si tasaveer phail chuki hain. un mein Instagram aur Twitter par post tasaveer sab se ziyada mashhoor hain. May 2017  mein is ki tasaveer ko hazaron ki tadaad mein layik aur share kya gaya,