India

Sadar Jamhooria Ram Nath Kovind Ney Teen Talaq Bill Ko Deydi Manzoori, Ban Gaya Qanoon

By News Desk Roman Urdu

August 01, 2019

New Delhi : Sadar jamhooria Ram nath Kovind ney jumeraat ko muslim khawateen ( shadi ke haq ke tahaffuz ) bill 2019 ( Triple Talaq bil ) ko manzoori deydi. jis se yeh qanoon ban gaya.

Is se pehlay yeh bill parliment ke dono aiwanon mein paas hua tha. usay 25 July ko lok sabha mein jabkay 30 July ko Rajya sabha mein paas kiya gaya tha. Lok Sabha mein is bill ke haq mein 303 aur bill ki mukhalfat mein 82 vote pade they. aur Rajya sabha mein is ki himayat mein 99 aur mukhalfat mein 84 vote dale gaye they. isse pehlay opposition ney is bill ko Rajya sabha ki select committee ko bhejnay ka mutalba kiya tha, jisay manzoori nahi mili thi.

September 2019 ke baad se teen Talaq ke anay walay sabhi maamlon ki samaat isi qanoon ke tehat ki jayegi. aur teen Talaq dainay walon ko teen saal ki qaid aur jurmane ki saza dainay ka ilzam hai. sath hi jis khatoon ko teen Talaq diya gaya hai, iske bachon ke akhrajaat ke liye mulzim ko mahana guzaraa bhatta bhi dena hoga. zabani, electronic ya kisi bhi zaraye se Talaq-e-bidat yani teen Talaq ko ghair qanooni qarar diya gaya hai.

Is ke alawa teen Talaq dainay walay ke khilaaf sirf mutasirah, isse khooni rishta rakhnay walay aur shadi se banay iske rishta daar FIR darj kara payenge. shohar ko magistrate ke zarea zamanat mil sakti hai. mutasirah ko sun-nay ke baad magistrate ko maqool shartoun par sulah karanay ka bhi haq diya gaya hai. –YTN STAFF