Hyderabad

Sadakhoun Ki Arzi Marammat, Sarkari Khazana Par Bojh Aur Awam Ko Haadsat Ka Khadsha

By News Desk Roman Urdu

August 07, 2019

Hyderabad:  Agar aap shehar-e-Hyderabad ki Sadakhoun par kisi nagehani haadsay se mehfooz rehna chahtay hain to apni gaadi ki raftaar may kami kardijiye kyunkay shehar-e-hyderabad ki beshtar sadakhein is waqt haadsat ke raastoon mein tabdeel ho chuki hain jahan kisi bhi lamha koi haadsa paish aasakta hai aur kisi masoom ki jaan bhi jasakti hai.

Shehar-e-Hyderabad mein guzashta 10 dinoun se barish ka jo silsila chal raha hai is nay shehar Hyderabad ki beshtar Sadakhoun ko khasta haal kar diya hai jabkay GHMC ki janib se naaqis aur khasta haal Sadakhoun ki arzi tor par jo marammat aur pewand kaari ki ja rahi hai woh intehai naaqis iqdaam hai. GHMC ki emergency team Sadakhoun par jahan gadhay dikhayi day rahay hain wahan daamber aur dosra material daal kar un gadhaoun ko band kar rahi hai lekin yeh arzi pewand kari ek taiz barish mein khatam horahee hai aur khasta haal sadak dobarah apni boseedah haalat mein wapas aa rahi hai jis se haadsat ka har lamha khadsha laga rehta hai.

Shehar-e-Hyderabad se talluq rakhnay walay civil engineer Nizam Khan ( naam tabdeel ) nay monsoon aur Hyderabad ki Sadakhoun ki haalat aur GHMC ki janib se arzi marammat ke zimn mein izhaar-e-khayaal karte hue kaha ke GHMC ki emergency team Sadakhoun ki khasta haal aur gadhaoun ko bharnay ke liye jo tareeqa-car ikhtiyar kia hai woh intehai ghair miyari hai kyunkay ke emergency team ki janib se mukhtalif maqamat par Sadakhoun ki marammat ke liye earzi tor per gadhaoun mein daambar aur doosra material bhara ja raha hai jo ek taiz barish se phir beh jata hai jis se sadak dobarah khasta haal hoti hai. yeh na sirf sarkari khazanay par bojh hai balkay awam ko kisi bhi lamha haadsay ka shikaar honay ke khadshaat bhi badhata hai.

Hyderabad traffic police ki janib se mo-asala adad wo shumaar ke mutabiq 2019 ke ibtidayi 6 mah mein khasta haal Sadakhoun ki wajah se jo mukhtalif haadsat shehar mein hue hain is mein 28 afraad ko apni jaanen ganwani padi hai. GHMC ke ohdedaron ke mutabiq shehar-e-Hyderabad ki Sadakhoun par jin 4000 maqamat ki nishandahi ki gayi thi unki pewand kari ka 75 feesad hissa mukammal hochuka hai lekin haqayiq iske bar-aks hain kyunkay shehar Hyderabad ki beshtar sadakein jo kay masroof tareen honay ke bawajood khasta haal hain aur musalsal barish ki wajah se yeh sadakain sanglakh raahon mein tabdeel ho chuki hain jahan kisi bhi waqt nah sirf haadsa runuma ho sakta hai balkay kisi shehri ki jaan bhi ja sakti hai. –YTN STAFF