Hyderabad: Tareekh shehar-e-Hyderabad mein waisay to kayi emaratein is ki shanakht hain jis mein ek Central library bhi hai jo ke 128 saal se urdu, farsi, arabi, hindi aur Marathi ke alawa deegar kayi zabanon mein 5.5 laakh se zayed kitabon ki sahuliyaat sabah 7 bujey se le kar aadhi raat 12 bajey tak faraham karti hai lekin yeh guzashta do dahoun se kayi ek masail ka shikaar hai. zahiri tor par imarat ki Tazayen no aur dekh bhaal ke masail to hain hi lekin dakhli tor par yahan amlah ki kami ki wajah se sangeen masail mojood hain .
State Central library taqreeban pandrah ghantay awam ko kutub ki sahuliyaat faraham karti hai jis ke liye 150 library mulazmeen ki zaroorat darpesh hoti hai lekin is waqt sirf 42 mulazmeen hi khidmaat anjaam day rahay hain. tafseelaat ke mutabiq Central library mein 12 sections mojood hain jis mein sirf 42 mulazmeen hi library ke khidmaat anjaam day rahay hain. guzashta do dahoun se Central library ke makhlua jayidadon par bharti nahi ho rahi hai halaank is masla ki taraf tavajja aur مخلوعہ jayedadon par bharti ke liye reyasti hukoomat se kayi martaba rabita aur yaddashtin paish ki gayi hain is ke bawajood is masla ki ek-yaksoi nahi hui hai .
zaraye ke mutabiq library mein is waqt hi mutabadil ohdedar ka taqarrur ho raha hai jab mojooda kisi ohday daar ki mout waqay hoti hai. Central library mein is waqt 42 mulazmeen khidmaat anjaam day rahay hain aur un mein bhi 15 mulazmeen ka taqarrur muawzay ke zamray ke tehat anjaam paaya hai jab ke guzashta paanch saal se is zamray ke tehat bhi kisi bhi librarian ka intikhab amal mein nahi aaya hai. muawzay ki farahmi ke tehat jin 15 ohday daaron ka taqarrur hua hai woh bhi maazi mein unke kisi rishtedaar ki yahan khidmaat anjaam dete hue mout ho janey ki wajah se honay walay taqarurat hain .
State Central library mein is waqt sab se ziyada masla security ka bhi hai kyunkay yahan tainaat wahid security guard ne bhi sahet ki bunyadon par raza karana subuk doshi ikhtiyar karli hai. is waqt jabkay har maqam par security intizamaa ko sakht tareen karne ka har jagah mutalba ho raha hai lekin Central library mein security ke bunyadi intizamaa hain nadarad hain . – YTN STAFF