India

Saas Bahu ke dohray qatal ka moamma hal karne mein police hunoz nakaam

By News Desk Roman Urdu

May 22, 2019

Hyderabad : Saas Bahu  ke dohray qatal ka moamma hal karne mein police hunoz nakaam hai jabkay qatal ka waqea runuma ho kar do haftay se ziyada ka waqt guzar chuka hai. Saas Bahu   ke qatal ka yeh waqea 6 May ko Mailardevpally police station ke hudood mein waqay roshan colony mein paish aaya jahan 55 sala Sabiha begum aur aur unki Bahu 22 sala Tayyiba ko kisi namaloom fard ne sir par aahini salakh se waar karte hue mout ki neend sulaa diya tha .

Saas Bahu roshan colony mein ek kiraye ke makaan mein rehtay they aur chand din qabal hi woh yahan muntaqil hue they. qatal ka waqea yeh is waqt manzar aam par aaya jab Sabiha ke shohar Moueen ne subah inhen ghar par chodh kar kar kaam ke liye rawana ho gaya tha lekin jab shaam ko wapas ghar louta to dekha ke maa aur biwi ki lashein khoon mein lutt putt padi hui hain jis ke baad is ne police ko mutala kiya .

Ibtidayi tehqiqaat mein police ne mobile phone record se se 1 shakhs ko hirasat mein liya jis ne aitraaf kiya ke is ne saas Bahu  ka qatal karne ke baad aahinii salakh ko qareeb ke naalay mein pheink diya hai jis par police ne muqami arbab-e-majaz se madad talabb karte hue naalay ke pani ke bahao ko rokkk kar is aahinii salakh ko haasil karne ki koshish ki lekin unki tamam tar koshish na sirf Raaygan gayi balkay is shakhs ne  apne aitraaf jurm se bhi inkaar kardiya aur kaha ke police ki Hirasaniyoun ki wajah se is ne yeh bayan diya hai .

Ibtidayi tehqeeq mein dohray qatal ke moamma ko hal karne ke liye police khush thi lekin is shakhs ke apne aitraaf jurm se munharif honay ke baad baad police ke masail mazeed badh gaye hain kyunkay is ilaqay mein nighdasht ke liye koi CCTV camera nahi hain jis ke baad police ko ab tehqiqaat karne mein dushwariyoun ka saamna karna pad raha hai. CCTV cameron ki Adam dasteyabi ke baad police ab mushtaba ashkhaas se pooch gach kar rahi hai .

Police ke paas is dohray qatal ke muamlay ko hal karne ke liye wahid rasta is ilaqay mein moujood mobile Phones call history aur mobile tower se haasil honay walay mawaad ka  tijzyati mutalea hi hai jis ke baad hi mobile phone par honay wali guftagu se kuch suraagh miley ga jis se mushtaba afraad tak rasai ko mumkin banaya ja sakta hai . –YTN STAFF