sahafion

Slider

Saal 2020 aalmi sahafion ke liye mushkil baras, 42 halaak aur 235 qaid

By News Desk Roman Urdu

December 10, 2020

London : Chahay halaat kuch bhi ho jaien lekin sahafi apni jaan par khail kar sachaai ko samnay laane ki koshish karta hai aur is koshish mein kayi martaba aisa bhi hota hai ke sachaai ko samnay laane ki koshish mein sahafi ko apni jaan se haath dhona padta hai aur aaye din aisay kayi waqeat runuma hotay hain jahan sahafi ya to qatal kar diye jatay hain ya phir inhen qaid ki saza sunadi jati hai.

Bain ul aqwami federation of journalists ke salana adaad o shumaar ke mutabiq rawan hafta jari honay walay is saal ki report mein kaha gaya hai ke is saal apne khidmaat anjaam dete hue 42 sahafi aur media karkun halaak hue hain jabkay kam se kam 235 sahafi is waqt apne kaam se mutaliq muqadmaat mein qaid hain. Halakaton ki tadaad isi satah ke aas paas hai jab aalmi sahafion ki union ne 30 saal qabal apni halakaton ki sangeen salana ginti ka aaghaz kiya tha aur yeh ek haliya daur mein sab se ziyada nuqsaan honay walay rujhaan ka hissa hai.

Mazkoorah federation ne insani huqooq ke aalmi din ke mauqa par jumaraat ko bazabta tour per jaari ki jane wali ek report mein mayoos kin halaat ka tajzia kiya hai.

Yeh tafseelaat Dutch hukoomat aur aqwam-e-mutahidda ki saqafati agency UNESCO ke zair e ihtimaam press ki azadi ke silsilay mein online conference se bhi millti hai jo guzashta roz manzar aam par layi gayi hai. IFJ ke general secretary ne kaha ke haliya barson mein sahafion ke qatal mein kami se yeh sangeen khatrah kam nahi hosakta jo sahafion ko apna kaam karne ke liye darpaish hai. aaye din sahafion ko jaan aur azadi ka khatrah la-haq rehta hai.

IFJ teen dahaiyo ke douran sahafion ki ginti ko barqarar rakhay hue hain aur is douran 2658 sahafi maaray ja chuke hain. Belgians ne kaha mazeed kaha ke yeh sirf adad wo shumaar nahi hain balkay woh hamaray dost aur saathi hain jinhon ne sahafion ki hesiyat se apne kaam ko apni zindagi ke liye waqf kiya jiske liye inhen hatmi qeemat apni jaan day kar chukani padi hai. Hamein sirf unko yaad karna nahi hai balkay hum hukoomaton aur qaanoon nafiz karne walay idaron par dabao banayenge ke woh unke qatilon ko insaaf ke katehray mein layein.

Mexico ne 2020 mein sahafion ke qatal ke mumalik ki fehrist mein sare fehrist raha jahan sab se ziyada sahafi halaak hue. 5 saloun mein chowthi martaba 13 halakaton ke sath woh sab se oopar hai jabkay is ke baad Pakistan paanch sahafion ki jaan ganwatey hue dosray number par hai. Afghanistan, Hindustan, Iraq aur Nigeria mein teen halakatain record kee gayeen. IJF jiske 150 mumalik mein 600000 arkaan hain, ne bhi aisay mutadid sahafion ko shumaar kya jinhen aksar Ilzamaat ke baghair jail bhaij diya gaya hai aur hukoomaten unke iqdamaat ki tehqiqaat se bachney ki khwahan hain.

IJF ke saddar Younus Mujahid ne kaha yeh adaad vo shumar hukoomaton ke zareya honay walay ghana zayadtio par roshni daaltay hain jo sahafion ko jail bhej kar aur unke munasib amal se inkaar karkay ehatasab ke khilaaf apna difaa karna chahti hain. UNESCO ke director general ne kaha ke hig conference reporters ke laazmi kirdaar ko ujagar karegi. unhon ne kaha na sirf sahafi hi wabai umoor ke douran ahem maloomat pohncharhe hain balkay woh har terhan ki sachaai ko jhoot se mumtaz karne mein hamari madad karte hain jo hamaray muashray ka bunyadi Ansar hai.