India

RSS Ki Janib Se Ram Ka Naam Phir Liya Jane Laga

By News Desk Roman Urdu

May 28, 2019

Jaipur : Narendra Modi ke doosri miyad ke liye kamyabi ke baad hi BJP , Gau Rakshak aur RSS  ney apne apne maqasid ko batadreej wazeh karna shuru kardiya hai yeh hi wajah hai ke BJP  ki kamyabi ke pehlay hafta mein gaaye ke gosht ka bahana bananay kar Madhya pradesh mein ek khatoon samait teen muslim nojawanon ko tashadud ka nishana banaya gaya hai jabkay RSS  ney Ram ke naam ki malaa japna shuru kar di hai .

Lok sabha intikhabaat shandaar kamyabi ke baad RSS  sarbarah Mohan Bhagwat ney Ram ke naam par ek bayan diya hai. Rajasthan ke Udaipur mein RSS  ki ek taqreeb se khitaab karte hue mohan Bhagwat ney kaha ke Ram ka kaam karna hai aur Ram ka kaam ho kar rahayga. sab ko mil kar karna hai Ram ka kaam. Ram hamaray andar rehtay hain, khud ka kaam khud hi karna padta hai. saump dete hain kisi ko phir bhi khud nigrani karni padtee hai .

Mohan Bhagawat ke is bayan ko ayodhya mein Ram mandir ke tanazir mein bhi dekha ja raha hai halaanke unhon ney is baray mein wazeh tor par kuch nahi kaha. mohan ney yeh bayan rajsthan ke Udaipur mein RSS  ke ek training programme ke douran diya. is RSS  tarbiati camp mein tanzeem ke taqreeban 300 logo ney hissa liya. Bhagwat  se pehlay Marari Bapu ney kaha tha ke Ram ka kaam sab ko karna hai. isi ko jodhte hue Bhagwat  ney kaha ke Ram ka kaam ho kar rahay ga .

Ayodhya ki mutanazia araazi par Ram mandir taamer kiye jane ka maamla guzashta teen dahoun se mulk ki siyasat par haawi hota aa raha hai. lok sabha intikhab se pehlay bhi BJP  ney apne manshoor sankalp pattar mein Ram mandir taamer ko lekar munasib qadam uthaye jane ka tazkara kiya tha. wazeh rahay ke RSS  lok sabha intikhab se pehlay bhi BJP  hukoomat par Ram mandir par narazgi zahir kar chuki hai. is se pehlay ek RSS  leader ney Bhagwat  ke hawalay se kaha tha ke RSS  lok sabha intikhab ke baad Ram mandir ki taamer shuru kar dayga, chahay markaz mein kisi ki bhi party ki hukoomat banay .

Ghhor-e-talabb hai ke ayodhya mutanazia araazi muamlay ko supreme court ney salisi ke zareya hal kiye jane ka hukum diya hai. is ke liye adalat ney ek sah rukni panel bhi tashkeel diya tha jis mein Mohammad ibrahim kaleef ko sarbarah banaya gaya hai aur deegar do arakeen mein shree shree rawi Shankar aur shree Ram pancho shaamil hain. un tamam halaat ke bawajood ab aarays s ka Ram ka naam leker apni taqarib ko munaqqid karne se aisa mehsoos hota hai ke BJP  ke Iqtidaar mein dobarah anay se inhen ek nai qowat mili hai. –YTN STAFF