Health

Rozana aik Aspirin khawateen ko HIV se door rakh sakti hai!

By Abdul Aziz

August 13, 2018

University of Manitoba Canada ki Kenya ki khawateen par tajarubaat. Rozana aik Aspirin se HIV Virus ka shikaar honay ka khatrah 35 feesad tak tall sakta hai. Aspirin se khaliyaat Manyee ki soozish mein kami. Mahireen ke khayaal mein khawateen ke tauleedi nizaam (reproductive tract) mein androoni soozish hi HIV ke pahelao ki wajah banti hai. Tajarubaat se saabit huwa hai ke Aspirin ney khawateen ke reham aur tauleedi nizaam mein HIV se mutasir honay walay khaliyaat e manyee ki tadaad mein 35 feesad tak kami kar di.

Aik nai tehqeeq se yeh baat samnay aayi hai ke aisi khawateen jo baqaidagi se Aspirin leti hain, woh HIV se khalion ke mutasir honay se badi had tak bach sakti hai chunkay is ke baqaida istemaal se khalion ki soozish ghatt jati hai jis se HIV virus ke asraat bhi kam parte hain. Rozana aik Aspirin se HIV virus ka shikaar honay ka khatrah 35 feesad tak tall sakta hai. Iss waqt khusosan Africa sameit duniya ka ghalib hissa HIV Aids ke chungal mein girftar hai taham 100 saal se bhi purani aik dawa Aspirin is marz ko bhi muassir andaaz mein rok sakti hai. Canada ki university of Manitoba ke mahireen ney kaha hai ke kam miqdaar mein Aspirin khanay se HIV (Aids virus) ke phelao ko kam kya ja sakta hai. Africi khawateen HIV infection ki ziyada shikaar hoti hain aur isi bina par mahireen ney tehqeeq ke liye Africa ka intikhab kya hai. Jamia Manitoba, University of Waterlu, Canada mein sahet ki agency aur Kenya ke deegar idaron ney Kenya ki bohat si khawateen ko Aspirin di jis ka keemiyai naam ‘Acetoxybenzoic acid’ ya ‘ASA’ hai. Yeh tehqeeq bain ul aqwami Aids Society ke journal mein shaya hui hai jis mein Aspirin jaisi aam dawa ke HIV par asraat ka jaiza liya gaya hai jis ke bohat hairatangaiz musbit natayij baraamad hue hain. Virus ko phelnay keliye ensaan ke andar ek hassas khaliya (cell) darkaar hota hai. Is zimn mein aam khaliyaat ke muqaabla mein ziyada tar sargaram khaliyaat Manyee (Immune Cells) hi HIV ka shikar bantay hain. Mahireen ke khayaal mein khawateen ke tauleedi nizaam (Reproductive Trract) mein androoni soozish hi HIV ke phaelao ki wajah banti hai. Tajarbaat se saabit huwa hai ke Aspirin ney khawateen ke rahem aur tauleedi nizaam mein HIV se mutasir honay walay khaliyaat ki tadaad mein 35 feesad tak kami kar di. Iss ke alawa HIV ke khatrah se dochar khawateen kayi baras tak infection se mehfooz rahin. Mahireen ney is kamyabi ke baad Aspirin par mazeed tehqeeq par zor diya hai. Mahireen ab yeh janna chahtay hain ke Aspirin jaisi saada dawa kis terha khalwi satah par sozish ko rok rahi hai. Agar yeh baat achi terha saabit hojati hai to Aspirin ke zareya kam kharch par ghareeb mumalik ki khawateen mein HIV ke phaelao ko roka ja sakta hai taham usay ilaaj ke bajaye ehtiyati tadbeer hi kaha jaye ga. Aspirin agarchay dard kash dawa ke taur par jani jati hai lekin is ka baqaida istemaal dil ko sahet mand rakhtay hue amraazِ e qalb se bhi bachata hai. Tibbi mahireen ka kehna hai ke dil ke dauray ki soorat mein agar fauri taur par koi dawa dastyab na ho to Aspirin ke istemaal se dauray ki shiddat mein kami layi ja sakti hai aur mareez ko Hospital pahonchanay ka waqt mil sakta hai .

Dr. Fowke ney kaha ke yeh intahi baeed az qiyaas hai ke Aspirin apne taur par hifz-e-mataqddum ke taur par istemaal ki khoobi rakhti hai. Iss ke liye aalami satah par market mein drugs dastyab hain. Mrz ke la-haq honay se qabal ehthyat ke taur par istemaal ki janey wali adwiyaat se inflamation/infection  ke khatraat badi had tak ghatt jatay hain. Unhon ney kaha ke study yeh zahir karti hai ke jinsi taur par mutharrik log khaas kar jinhein HIV la-haq honay ka khatrah ziyada rehta hai woh condoms aur pre-Exposure Prophylaxix (pr EP) ke sath sath Aspirin ka bhi istemaal kiya jay. Unhon ney kaha ke Aspirin ke is tanazur mein istemaal par is ke daira aur nuqsanaat par mazeed tehqiqaat ki jani chahiye.