Slider

Rohit Sharma T20 world cup ke baad Hindustani team ke captain honge

By News Desk Roman Urdu

September 13, 2021

Hyderabad: Hindustani cricket team ki sufeed gaind ki qiyadat aane wale mahino mein ek badi tabdili ke liye tayyar hai aur maujooda captain Virat Kohli ke muttehida Arab Emirates aur Oman mein T20 mens world cup ke baad sabakdosh hone ka imkaan hain. Twaqqo ki jaati hain ke Kohli IPL ke sab se zyada kamiyab captain Rohit Sharma ko captain ki zimmedari soump deinge kyun ke 32 saala kohli apni batting par zyada tawajjeh dena chahte hai.

Kohli khud mehdood ki team ki qiyadat se sabakdosh ka elaan kareinge. Media ne zaree ke hawale se kaha hai ke kohli ka khayal hai ke unhe apni batting par tawajjeh markooz karne ki zaroorat hain aur wahi banna hai jo woh hamesha raha hai. Duniya ka behatreen batsman kohli ki captain ki sab se badi tanqeed team ki zimmedari sambhalne ke baad se ICC ki ehum trophy jeetne mein nakaami hai. Haal hi mein June mein Hindustan world test championship ke final mein Newsland ke khilaf southempten mein final haar gaya tha.

Hindustan ke kamiyab tareen captains mein se ek kohli ne 95 one day matches mein Hindustan ki qiyadat ki jin mein unhe 65 futuhaat aur 27 nakamiyo ka saamna karna pada hai. 45 T20 mein ab tak jahan woh captain rahe hain is mein Hindustan ne 27 futuhaat hasil ki hain jabke 14 martaba team nakaam rahi hai.

Daree asnaa 34 saala Rohit ne wonday mein 10 martaba Hindustan ki qiyadat ki aur unhe 8 mawaqe par futuhaat dilayi. T20 mein unho ne 19 martaba team ki captain ki hai jin mein se unho ne 15 futuhaat aur 4 martaba shikast huwi.

Kohli ko yeh bhi sab se pehle ehsas huwa ke ba taur e captain unki majmooyi zimmedariya unki batting par asar andaz ho rahi hain. Taazgi ki zaroorat hain kyun ke unke paas paish karne ke liye bohut kuch hai. Agar Rohit white ball captain ka auhda sambhalte hai toh Kohli Hindustan ki test team ki qiyadat ko aage badate huwe apni T20 aur one day batting par kaam kar sakte hain. Woh sirf 32 saal ke hain aur fitness ko dekhte huwe woh kam az kam mazeed 5 se 6 saal tak behatreen cricket khail sakte hain.