Slider

Riyasat Telangana mein mazeed barish ka imkaan

By News Desk Roman Urdu

October 12, 2020

Hyderabad: Jummay ki shab honay wali barish ne shehar Hyderabad mein aam zindagi ko maflooj kardiya tha jabkay itwaar se leker abhi tak barish waqtan foqatan horahee hai lekin mehakma mosmiyat ne Telangana mein mazeed barish ki pesh qiyaasi ki hai jaisa ke Hyderabad mein dopehar ko bhi halki se taiz barish Record ki gi hai.

Paiir aur mangal ko Telangana ke shumali aur mashriqi ilaqon mein mazeed mosla dhaar barish ka imkaan hai kyunkay khaleej Bengal ke maghribi wasti ilaqay mein peda honay wala huwa ka kam dabao shumali Andhra Pradesh ke saahil ko paar karne ka imkaan hai. Paiir ki raat se riyasat ke deegar ilaqon mein charshumbe tak garaj chamak ke sath barish aur halki barish ka silsila jari rehne ka imkaan hai.

Mehakma mosmiyat ( IMD ) ke mutabiq, Adilabad, Asifabad, Nirmal, Mancherial, Jagtial, Pedapally, Nizamabad, Srisailam, Kareemnagar, Warangal Mehboobabad, Khammam aur degar elaqon mein bohat taiz barish ki tawaqqa hai. Nalgonda aur Suryapet mein bhi barish Record ki gayi hai. IMD ki pesh qiyaasi ke mutabiq un tamam azlaa mein bohat se nashebi ilaqon mein baday pemanay par selaab ki sorat-e-haal ka saamna karna padsakta hai.

IMD ne Hyderabad mein bhi sadkon aur nashebi ilaqon mein pani ke jama honay, Beshtar maqamat par Traffic ke Jam honay, Khasta haal aur phislan wali sadkain, Darakhton aur bijli ke khambay girnay, Nalion ki bandish aur bijli mein khalal padney ki khabardaar kiya hai. Mosla dhaar barish ki pesh qiyaasi ke pesh-e-nazar Central Water Commission ne Krishna Nadi besan mein Narayanpur, Jurala, Srisailam, Moose Dam ko ek Advisory jari kiya. “ih mushahida kiya gaya hai ke Dam taqreeban mukammal zakhair satah ( FRL ) par hain.

Alawa azeen Chief Minister K Chandrashikhar Rao ne riyasat ke logoun se aglay 2 din mein chokas rehne ki Appeal ki hai. Unhoun ne Chief Secretary Sumesh Kumar ko hidaayat di hai ke poori reyasti Machinery ko High Alert rakha jaye. Unhoun ne tamam zilai Collectors aur police Superintendents ko hidayat di ke woh selaab Protocol ki sakhti se pairwi karen aur kam satah ke poles aur Causeways par khusoosi tawajah den aur un par har terhan ki Traffic aur paidal chalne se mana karen.