Latest News

Riyadh Season par Barish ke asraat, melay may January tak towsee

By News Desk Roman Urdu

November 19, 2019

Riyadh: Saudi dar-ul-hukoomat Riyadh may kayi dinoun se barish ka silsila jari hai. guzashta ruz huve  musalsal barish ke baais sadkain zair-e-aabb agaien. Traffic ki ravani mutasir huvi aur aam zindagi maflooj hogi aur is ka asar yahan rawan Riyadh Season par bhi pada hai. barish ke pesh-e-nazar Riyadh Season may kayi ahem Programme multawi kardiye gay. Tafseelaat ke mutabiq Riyadh may mosla dhaar barish ka silsila Mangal ko bhi jari rahayga. mehakma mosmiyat ne khabar daar kiya hai ke Riyadh shehar aur is ki Commisionry may mangal ko bhi mosla dhaar barish mutawaqqa hai. Riyadh ilaqay may barafbari ka quwwat imkaan hai. gird aalo hawaoun  ki wajah se had-e-nazar mehdood ho jayegi. Al Diriyah Development Authority ke tarjuman ne kaha hai ke barish ke baais Buaba Aldaria ki iftitahi takreeb 19 November ke bajaye 20 November ko hogi.

Riyadh Season ki intezamiyah ne maroof Arab gulukarah Ahlam ka Concert mausam ki kharabi ke baais multawi kardiya. is mauqa par Anaa Arbia ( May Arab Khatoon ) forum may inamaat ki takreeb bhi mosladhar barish ke baais nahi hosaki. Concert ke ticket 18000 Riyal tak may farokht huve they. Riyadh Season ki intizamia ne musalsal barish ke baais Winter Wonder Land, nabd Al Riyadh aur Wadi Namar may honay walay tamam Programme bhi multawi kardiye hain. mangal ko barish ka silsila khatam honay par Programme dobarah honge.

Dariasna Aseer Regoin aur Al Bahah Regoin may peer ko tofani barish se nizaam zindagi maflooj hogaya ilaqay zair aabb aagaye. un tamam halaat ke pesh-e-nazar Riyadh Season may ab January tak towsee kar di gayi hai. Saudi Wali Ahad shehzada Mohammad Bin Salman ne Riyadh Season may towsee kar di. ab ye 15 Decemeber 2019 ke bajaye January 2020 ke ekhtataam tak jari rahay ga. tafseelaat ke mutabiq mehakma tafrihat ke sarbarah Turki Al-Shekh ne Twitter par elaan kiya ke ek mah ke douran Riyadh Season dekhnay ke liye anay waloun ki tadaad 76 Lakh 50 Hazaar tak poanch gayi.

Riyadh Season 11 October 2019 ko shuru huwa tha. Programme ke mutabiq 15 Decemeber 2019 ko khatam honay wala tha taham awaami pazeerai milnay par Wali Ahad shehzada Mohammad Bin Salman ne is may 45 din ka mazeed izafah kardiya. ab ye January ke aakhir tak jari rahay ga. yad rahay ke Riyadh Season may 46 Hazaar  Saudioun ko mehdood waqt ke liye juz waqti mulazmat ke mawaqay miley hain. Saudi General Entertainment Authority ke Chairman aur Riyadh Season ke sarbarah Dr Turki Al-shaikh ke mutabiq tafrehi shobay may 2030 tak dahai Lakh mustakil mulazimtoun ke mawaqay haasil hon ge.

Riyadh Season may badi tadaad may mukhtalif Companies aur Sponcers ka taawun bhi haasil hai. is hawalay se 80 feesad hadaf haasil karliya gaya jo 400 Million Saudi Riyal ke lag bhag hai. Riyadh Season ke tehat Fisteval  may 12 maqamat par 100 se zayed Programme pesh kiye ja rahay hain jis may aatish baazi, Circus, Moseeqi, Safari Perk, Theatre aur deegar bohat si sargarmia shaamil hain. –YTN STAFF