Abu Dhabi: Sunrisers Hyderabad ke Rashid Khan ne Indian Premier League ke 13 wi Season mein ek naya sang mil qaim karliya hai. Rashid Khan ne Season mein 6 se kam osat se 20 wickten haasil karne walay bowlers ke club mein shaamil hogaye hain. Qualifier two mein Sunrisers Hyderabad ki Team Delhi Capitals se 17 run se muqaabla ganwaa baithi. Agarchay qualifier tak pounchanay ka safar Hyderabad ke liye aasaan nahi tha lekin Rashid Khan ne apni bowling ki bunyaad par hi yeh mumkin kiya. Rashid Khan ne is Season mein umdah karkardagi ka muzahira kiya hai aur ek khaas Club mein daakhil hue hain.
Rashid Khan 13 wi Season mein 16 match khail kar 5.37 ke osat se runs day kar 20 wicket haasil karne mein kamyaab rahay. Ek Season mein 20 ya is se ziyada wickten haasil karne walay bowlers mein Rashid Khan ka osat sab se kam hai. IPL ki tareekh ke sab se kamyaab bowler mein se ek Lasith Malinga hain jinhon ne ek season mein sab se kam osat se wickten lainay walay hain. 2011 mein Lasith Malinga ne umdah bowling karte hue sirf 5.95 ke osat ke sath 28 wickten haasil ki theen.
Is khusoosi Club mein RCB ke sabiq Captain Anil Cumble bhi shaamil hain. Anil Cumble ne 2009 mein RCB ki taraf se khailtay hue 5.86 ki sharah ke sath 21 wickten haasil kee. KKR Star khiladhi Sunil Narine wahid khiladi hain jinhon ne 2 martaba is club mein jagah banai. Narine ne pehli baar 2012 mein 5.48 ke osat ke sath bowling ki thi aur 24 wickten haasil kee. Aglay saal bhi Narine ki shandaar bowling jari rahi aur unhoun ne 5.47 ki osat ke sath 22 wickten haasil kee.