Latest News

Ramzaan se phelay Saudiyon ki rasam shabna ab apni asal maqsad khoney lagi

By News Desk Roman Urdu

April 30, 2019

Riyadh: Har Mulk aur qittey ki aik tahazeeb aur kuch rasomaat hotay hain jo ke khaas din aur mauqa par manayi jati hain aisi hi aik rasam shabna hai jo kay Saudi qaoum Ramzaan Ul Mubarak ki aamad se qabal maanatee hai lekin ab yeh rasam bhi noujawan nasal mein nafsaani khwahish ki Nazar horahee hai. Saudi Arab mein Mecca, Madinah aur Jeddah ke log mah Ramzaan ki aamad se qabal shabaan ke aakhir mein aik rasam manate hain jo rishta daaron aur dost ahbaab se milnay milaane ka zareya hai. Hijaz ke shehri qadeem zamane se shabna ki rasam manate chalay arhay hain. Yeh naam ”shabaan” se makhoz hai. ab yeh sawal peyda hota hai ke aakhir yeh rasam shabna kya hai?

Shabna ki rasam ke tehat aik khandan ke log kisi tafreeh gaah ya resthouse  ka rukh karte hain. Wahan mil jul kar poora din guzartay hain aur shandaar pur takaluf khaano ka intizam karte hain. Aglay din ki subah taq raat jaga karte hain. Noujawan aur dost ahbaab bhi group banakar isi terha ka mashgala karte hain. Bohat saaray noujawan mil jal kar resthouse karaye par haasil karte hain. Is mein achi baat yeh hai ke is rasam ke jumla akhrajaat taqreeb mein shareek afraad mil jul kar ada karte hain jisay al-khata kaha jata hai.

Rest house ke malkaan shabaan ke aakhri ayyaam mein karaye 60 taa 80 feesad taq badha dete hain. Yomiya ki buniyaad par rest house karaye par liye jatay hain. Jeddah ke aik muqami Councillor Hussain Al-Umeri ke bamoujib ahal Hijaz qadeem zamane se shabna ki rasam Ramzaan al mubarak ke isteqbaal ke tor par manate rahay hain. Is mauqa par aik jagah baith kar khanay peenay ka ihtimaam karte hain. Makhsoos mashroob sobiyapeetay hain. Chutkule, latefay aur hikmat ki baaten aik dosray ko sunaate hain.

Noujawan Abdulah Aish ne is zimn mein kaha ke woh Shabna ki rasam ke liye apne waalid ke hamrah 3 din taq sehraa mein dairra dalta hai. Abdulah Aish ke mutabiq un ko ghudh sawari aur teraaki ka shoq hai. Chacha zaad bhai aur deegar rishta daar bhi un ke hamrah hotay hain. Lekin is rasam ke hawalay se buzurag hazraat noujawanon se nalan nazar atay hain. Un buzurgon ka kehna hai ke nai nasal ne Shabna jaisi khobsorat rasam ko is ki asal dagar se hata diya hai. Un ke yahan samaji fawaid se kahin ziyada mouj masti aur nafsaani khwahisaat ka amal dakhal badh gaya hai.

Saood Al Shareef ney kaha hai ke is rasam ka asal maqsad rishta daaron aur mukhtalif khandano ke taluqaat mein nai zindagi peda karna tha. Is mauqa par log jama hotay. naghmay, geet gatay aur aawami khaano se lutaf uthatay taham ab sorat e haal badal gayi hai. University ke aik taalib ilm abdulah Khalid ney is qisam ke tasrat par nagwari kaa izhar karte huwe kaha ke shabna ki rasam mein raddobaddal fitri amar hai. Riwayati taqrebaat ko jadeed shakal o andaaz mein paish karna asar haazir ka taqaza hai. Noujawanon ney apne zouq aur mijaj ke mutabiq is mein raddobaddal kiya hai. Khalid nayazi ka talluq Mecca Mukaramah se hai, unhon ne kaha ke noujawanon ney is rasam ko is ke haqeeqi tasawwur se aari kardiya hai. Unhon ney is mauqa par nojawanon ko yeh mahswara bhi day dala ke Allah ke wastay is samaji rasam ki shakal nah bigadein noujawanon ke ravayye ney Ulama ko is rasam ki baabat sakht baaten kehnay par majboor kardiya hai. Maroof Kalm Nigaar Mohammad Al Sahini ke bamoujib Hijaz ke log Shabna ki rasam ahbaab se milnay ya aazmin hajj ko ’alvidah’ kehnay ke liye manaya karte they. Is mauqa par gosht walay khanay istemaal kiya karte aur Ramzaan ke douran dustar khawan par gosht se tayyar kardah koi dish istemaal nahi karte they. Ab to yeh rasam mehez rasam ban kar reh gayi hai. chand maamar afraad hi usay sahih maino mein ada kar rahay hain.M –YTN STAFF