Slider

Ramayanpet mein 14 dinon ka khud ka lockdown jari

By News Desk Roman Urdu

August 02, 2020

Hyderabad : Telangana ke zila Medak ke Ramayanpet mein 14 dinoun ka khud ka lockdown jari hai jisko ilaqa mein corona ke mamlaat par qaboo mein panay ke liye nafiz kiya gaya hai.

Un dukaandaroun ne intibah diya ke covid19 ke qawaid ki khilaaf warzi ki gayi to jurmana aaed kiya jayega. unhon ne is silsila mein unka taawun kiya jaye. beshtar dukandaar aur tijarti idaray is lock down ki wajah se band rahay.

Unka kehna hai ke agar bazaar khoola gaya to corona ke mamlaat mein izafah hosakta hai.

Is lockdown ka faisla market ke khuli rakhnay ke nateeja mein badhatay hue corona ke mamlaat ke paish-e-nazar kiya gaya hai. unhon nay gaon walon aur bilkhushoos nojawanon se khwahish ki hai ke woh is par amal karen. wazeh rahay ke dono telugu reyaston Telangana aur AP ke beshtar azlaa jahan corona ki waba phail rahi hai mein choksi ikhtiyar ki gayi hai aur taajiron ki kayi tanzeemon nay corona ki rok thaam ke liye apne tour par lock down nafiz kardiya. is lock down ke nateeja mein dukaandaroun ki maeeshat mutasir hosakti hai. yeh dukandaar apne khandano ke sath sath apne gahkon ki salamti ke liye ye faisal karne par majoobor hue hai.