Trending News

Ramadan ke muqaddas mah bhi Misar ki sadkoun par jhagdoun ke manazair

By News Desk Roman Urdu

April 30, 2020

Cairo: Ramadan ka muqaddas maheena gham khawari ka mah hota hai aur ek dosray ki madad mein loog badh chadh kar hissa letay hain lekin Misar ki sadkoun par Ramadan mein bhi jhagde aam baat hai. Misar ke kayi shehroun mein Ramadan ke mahinay mein sadkoun aur galiyo mein jhagde bhedne ki kuch wajohaat hain. Ek Report ke mutabiq Doctors ki raye hai ke ye aapsi jhagde waqti tor par tambaku noshi ya caffeine mein waqfa ya phir is ke alawa khanay peenay ke auqaat mein takheer ke baais hotay hain.

Misar ke Dr Ahmed Al-Zofli ne kaha hai ke khaas tor par Ramadan mein din ke auqaat mein is ghusse balkay gham ke peechay logoun ki waqti tor par buri aadaat se ruknay ki alamaat samnay aayi hain. Is muqaddas mahinay mein tulu aftaab se ghuroob aftaab tak khanay peenay ki momanat aur caffeine ya Nicotine ki adam dasteyabi aadi afraad ke mizaaj ko badal deti hai. Un ke mutabiq tambaku noshi karne waloun ki aksariyat apni khwahish ko ziyada der tak rokay rakhnay se tanao aur iztiraab ki kefiyat mein chali jati hai aur ye alamaat rozay ki bajaye nashay ki buri aadat ke baais hain.

Cairo mein nafsiati markaz ke Director Dr Ashraf Al-Kardi ne kaha hai ke aisa nahi hai ke Ramadan aur tanao mein koi rabt hai. Ghabrahat ya iztiraab ka rozay se koi talluq nahi, Buri aadaat rakhnay walay afraad Ramadan mein auqaat ki tabdeeli ke baais is kefiyat se dochar hojate hain. Doctoron ki raye ke mutabiq insani jism ke sath sath dimagh ke liye pani ka sab se ziyada aur ahem kirdaar hai aur phir roza ki haalat mein pani nah piinaa aisay logoun ki tabiyat par ziyada asar andaaz hota hai. Jis se baaz auqaat wo ghabrahat, Iztiraab aur kam hauslay ka shikaar ho jatay hain.

Der tak jagtay rehne ke baais neend mein kami bhi rozay ki haalat mein pareshani ki ek khaas wajah ho sakti hai. Ramadan ke dinoun mein raat der gaye tak TV dekhte rehna ya sehri tak neend poori nah karna bhi is mein shaamil hai. Dr Al-Kardi ne mazeed kaha hai ke sehar aur aftaar ke darmain chand ghantay ki neend se kahin behtar ye hai ke raat ke pehlay auqaat mein kuch neend poori karli jaye jis ke hamesha misbet nataij bar aamad hotay hain.

Media se baat karte huve Dr Omar Al-Tonsi ne kaha ke roza ki haalat mein agar koi shakhs narazgi ya ghusse ki haalat mein pareshani ya tanao ka shikaar hota hai to is ke khoon ke dabao mein farq aata hai jo baaz auqaat 20 taa 30 guna ziyada hojata hai. Rozay ki haalat mein Blood Pressure badh sakta hai jis se khoon ki miqdaar mein izafah ke baais dil ki dhadkan badh jati hai.

Rozay ki haalat mein jism ki ye ghair mamooli kefiyat Blood Pressure badha kar jism ko ladnay ke liye ziyada tawanai faraham karti hai. Dr Tonsi ne kaha ke High Blood Pressure aur dil ke liye Oxygen ki farahmi mein gadbad dil ka dora padney ka sabab ban sakta hai. Isi terhan dil ke amraaz mein mubtala afraad ke liye aisi haalat mein gussa faalij ka baais bhi ban sakta hai.

In sab ke alawa mutadid mahireen ka ye bhi khayaal hai ke ikhlaqiaat aur bunyadi tor par mazhabi eqdaar ki kami ya adam mojoodgi bhi aisay anasir hain jo roza daar ko pur-tashaddud kefiyat mein mubtala kar dete hain. Ramadan Ul Mubarak ke douran logoun mein ladai jhagdoun mein ikhlaqi geravat ki bajaye muashi bhuranoun ke dalail ke peechay chupna kisi bhi soorat theek nahi hai.

Aaj kal ke nojawanoun mein naaqis ikhlaq ki ek wajah masharti na hamwari, Khandanoun mein na-itefaqi aur bunyadi taleem ka fuqdaan hai jo inhen bohat chhoote omar mein di jani chahiye. Maahir khoraak Nadeen Shakri ne roza rakhnay walay afraad ko mashwara diya hai ke wo Ramadan ke is mahinay ko ghanemat jaan kar tambaku noshi tark karden aur sehar aur aftaar mein bohat ziyada miqdaar mein pani ya deegar mashrobat ka istemaal karen taa ke jism aur dimagh mein pani ki kami ka ehsas na ho. Unhoun ne mazeed kaha ke roza daaroun ko apne hazme ko munasib rakhnay ke liye iftaar ke waqt khanay peenay ki miqdaar par zaroor tavajja rakhni chahiye. Yakdam se maiday par boojh bhi ghabrahat aur tanao ka sabab ban sakta hai. –YTN STAFF