Riyadh : Aalam-e-Islam mein har jagah is waqt istaqbaal-e-Ramadan ki tayyariyan zor wo shore se jari hain aur har muhallay gali ki masajid ki Aahag pashi aur Tazeen nou ka kaam ho raha hai, aisay mein phir aalam-e-Islam ke liye awaliyat rakhnay wala Qibla Masjid al-Haram mein istaqbaal-e-Ramadan kaisay nahi hoga. Saudi arab ki general Presidency baraye umoor Haramain Shareefain ke sadar nasheen Sheikh Dr Abdul Al Rahman bin Abdul Al aziz As-Sudais ney Masjid al-Haram ke tareekhi darwazay Shah Abdul Aziz ko fouri tor par kholnay ki hidayat dete hue istaqbaal-e-Ramadan ki khatir Masjid al-Haram mein taamer wo marammat ka kaam mutaliqa idaron ke taawun se hungami bunyadon par mukammal kiya jaye .
Dr Abdul Rahman ban Abdul Aziz As-Sudais ney Masjid al-Haram ke project Directorate par zor diya ke Haram mein jari marammat aur islaah ke kamon ko kam se kam waqt mein mayaari andaaz mein mukammal karne ke liye koi kasar na rakhi jaye taakay Ramadan-ul-mubarak mein farzandan towheed ki ghair mamooli tadaad ke baais Mutamireen aur namaziyon ko kisi qisam ki mushkilaat ka saamna nah karna pade .
Unhon ney Masjid al-Haram mein jari taamer wo marammat ke kamon ki raftaar ka jaiza lainay ke liye masjid ke mukhtalif hisson ka dora kiya. mumlikat ke baani Shah Abdul Aziz se naam se mosoom darwaaza ki murammat aur islaah ke mansoobay par kaam karne walay hukkaam aur Engineers se barah-e-raast sawalaat bhi kiye .
Is Mauqa par unhon ney mansoobay par kaam karne walay hukkaam ko hidayat ki ke woh Allah ke mehmanon ke aaraaam aur tahaffuz ko yaqeeni bananay ke liye taamer wo marammat ke kaam ko aala miyaar ke mutabiq mukammal karen. unhon ney mansoobay par kaam karne walay amal aur nigran intizamia ko hidayat ki woh aala pesha waranah miyaar ko browe car laatay hue taamer ko mumlikat ki Aala qayadat ki tawaquaat aur Vision 2030 ki roshni mein jald az jald paya takmeel taq p_hnchayin .
haqayiq jan-nay ke silsilay mein kiye jaaney walay is doray mein incharge under secretary general baraye Masjid Al-Haram Ahmed bin Mohammad Mansori aur incharge under secretary general baraye intizami umoor Dr Saad Bin Mohammad Al-Hameed bhi sadar nasheen Sheikh Dr Abdul Al Rahman bin Abdul Al aziz As-Sudais ke hamrah they.
Yaad rahay ke baab Shah Abdul Aziz Masjid al-Haram ke ahem dakhli darwazon mein shaamil hai aur is ke zariye farazndan towheed ki badi tadaad Haram ki hudood mein daakhil hoti hai. haliya tamirati kamon ki takmeel par darwazay ki oonchai 48 meter tak hojaye gi jisay hajhoom ke auqaat mein bhi Bait Al-Ateeq mein dakhlay ke khwahish mand baasani istemaal kar sakenge. –YTN STAFF