Trending News

Ramadan ke aakhri ashray mein Masjid Al Nabawi Al Haram ki Sanitizing ka aaghaz

By News Desk Roman Urdu

May 14, 2020

Riyadh: Saudi Arab mein Masjid Al Haram aur Masjid Al Nabawi ﷺ ke umoor ki general Presidency ke sarbarah aala Dr Abdul Rahman Al-Sudais neh Ramadan ke aakhri ashray ke douran Masjid Al Nabawi Al Haram mein safai o Sanitizing ki Schemes aur hifazati iqdamaat ka iftitah kiya hai. Tafseelaat ke mutabiq Dr. Sudais neh kaha ke dono muqaddas Masjid ko pak saaf rakhne, Muattar karne aur Sanitizing karne ka ihtimaam kiya ja raha hai. Dr Al-Sudais neh Ramadan ke aakhri ashray ki tayari aur muqaddas Masajid ki safai ki Schemes par amal daraamad karne waloun ki nigrani ki.

Sudais ne mazeed kaha ke tamam hifazati iqdamaat muqarara Program ke mutabiq anjaam diye jayen aur mutaliqa idaroun ke taawun se zaireen ko mayaari khidmaat pesh ki jayen. General Presidency ke tarjuman Hani Hiader ne kaha ke Presidency ne Ramadan ke ibtidayi 2 ashroun ke douran dono muqaddas Masjid mein hifazati iqdamaat aur ahteyati tadabeer ka ihtimaam hungami bunyadoun par kiya. Namazioun ke darmain samaji faaslay ka usool nafiz karwaya gaya.

Sanitizing ka amal baar baar dohraya gaya. Masjid Al Haram ko rozana 7 baar dhoya aur Sanitizing kiya gaya. Muqaddas Masjid ke tamam karkunaan ka Corona Test liya gaya jabkay Masjid Al Haram ki Security par mamoor force ki shiraakat se hifazati program ki pabandi ki gayi.

Hani Haider ney mazeed kaha ke Presidency Masjid Al Haram ke darwazoun par Computerized Thermal Camera nasb kar rakhay hain taakay Masjid Al Haram mein kisi bhi waqt ane jaane waloun ka jismani daraja hararat khudkar nizaam ke tehat maloom kiya ja sakay. Is ke ilawa wizarat sahet ke mahireen Masjid Al Haram ke mutadid darwazoun par Duty bhi anjaam day rahay hain.

-YTN STAFF