India

Ram Janmabhoomi par adalti hukum na maan-ne walay ghaddar

By News Desk Roman Urdu

November 18, 2019

New Delhi: Maweshi aur mahi parwari ke markazi vazir Giriraj singh ney ayodhya mein ram janmabhoomi par Supreme court ke hukum ki tameel na karne waloun ko ghaddar kehte hue kaha ke agar unhein mulk ke adalti nizaam par etemaad nahi hai to yahan se jaane ke darwazay khulay hain.

Giriraaj singh ney Kalka mandir mein sanatn hindu wahani ke ayodhya par supreme court ka faisla aanay ke baad munaqidah shree raam Mahautsav conference se khitaab karte hue kaha ke hindustani jamhoriat ki sitam zarifi ye hai ke aaj bhi mulk mein aisay log chupay baithe hain jinhein supreme court ka faisla qubool nahi hai aur iski khilaaf warzi karne ka bhi koi mauqa nahi jaane dete.

Aise logoun ko mulkki jamhoriat ke liye badnuma daagh qarar dete hue unhon ney kaha ke agar woh adalti nizaam par yaqeen nahi rakhtay hain to dosray mumalik ke darwazay unke liye khulay hain. singh ney kaha ke aaj mulk ki qayadat Wazeer-e-Azam Narendra Modi aur wazeer-e-dakhla Amit Shah jaisay qoum parast rehnumao ke hathon mein mehfooz hai. hukoomat anay walay waqton mein bhi qaumi mafaad se mutaliq faislay karne se daregh nahi karegi.

Is mauqa par Kalka mandir ke surendra nath ney raam mandir se mutaliq supreme court ke faislay ko tareekhi qarar dete hue khair-maqdam kya. conference mein ram mandir ka faisla sunanay walay bench ke 5 judges ke aizaz mein ek qarardad Manzoor ki gayi.

Unhoun ney kaha ke modi hukoomat ke daur hukoomat mein masla Kashmir ka pur-aman hal aur ab supreme court ke wazeh hukum ke baad ayodhya mein shree ram ke azeem ul shan mandir ki raah hamwar hogayi hai. –YTN STAFF