Bill ki peshkashi par adam-ittafaq, aindah ijlaas ke liye moakhar. Modi Hukoomat Ordinance ya Emergency Executive Order manzoor kar sakti hai.
New Delhi. Naib Sadar e Jamhooria Mr. M. Venkaiah Naidu ne aaj kaha ke yaklakht teen Talaq dainay ko tazeeri jurm qarar dainay walay mujawaza qanoon ka Bill parliment ke aindah ijlaas mein rakha jaye ga chunkay Rajya Sabha mein partiyan kisi moahida par pounchanay se qassar rahay. zaraye ne kaha ke parliment ke aindah ijlaas se qabal is musevida qanoon ke nifaz ke liye Hukoomat is khusoos mein aik Ordinance ya Emergency Executive Order manzoor kar sakti hai. Parliament ka ijlaas jari na rehne ki soorat mein Hukoomat hangami iqdamaat ke taur par Ordinence ya Hangami Aamilana Hukum jari karne ka ikhtiyar rakhti hai. Sadarnashin Rajya Sabha Mr. Venkaiah Naidu ne kaha ke partiyon mein ittafaq raye qayim na honay ki wajah se aaj Talaq salasa Bill ko aiwaan mein nahi rakha jaye ga. kabeena ki janib se mujawwiza qanoon mein tarameem ki manzoori ke dosray din hi Hukoomat aaj is Bill ko parliament ke manson ijlaas ke aakhri din Rajya Sabha mein paish karne ka iradah rakhti thi. Paheli tarmeem yeh ki gayi thi ke bayak waqt teen Talaq day dainay par jisay Talaq Bidaa se bhi mausoom kya jata hai sirf khatoon ya is ke khooni rishta daar ya phir Aqab Nikah se judey koi fard ki janib se hi Police mein shikayat ki jasakay gi. Doosri tarmeem yeh ki gayi ke shohar ke Talaq Bidaa ko wapas le lainay aur dobarah mil jul kar rahne par bahami amaadgi ki soorat mein mutlaqa darkhwast guzar ko apni darkhwast wapas lainay ki ijazat haasil rahay gi. Teesri tarmeem yeh ki gayi ke sirf magistrate hi zamanat ke majaz hon ge. Is tarmeem ki ru se shikayat kunindah khatoon ke bayan ki samaat ke baad hi Magistrate mulzim shohar ko zamanat par rihaa karne ka faislah kar saktay hain. Siyasi partiyon ka yeh mutaliba tha ke teen saal qaid ki saza ko wapas liya jaye aur shikayat ke indraaj ke baad sirf Magistrate ki bajaye Police ohdedar ko bhi zamanat par rihaa karne ka ikhtiyar diya jaye jisay Hukoomat ne qubool nahi kya. asal Bill ko guzashta baras hi lok sabha mein manzoori haasil hogayi thi taham Rajya Sabha mein yeh Bill ruka huwa tha jahan BJP ki zair e qiyadat NDA is waqt aqliat mein hai.